Posts

Showing posts from June, 2013
Teer-e-nazar se jo zakhm hume diye jaate hein unpe apne aansuon ki malham hum lagaate hein Us par maasoomiyat se yeh poocha jaata hai… Kyu rote ho, kya hum tumhe itna yaad aate hein  
Dastak koi deta hai raat raat bhar khayaal mein Ulajh ulajh jaate hein uske khamosh sawaalon mein Raasta takta tha wo mera kabhi modon pe khada hua aaj khada hai wh maasoom barbaadi ke kagaaron mein Kuch samajh ka fer tha, kuch waqt ka dhokha, warna Kaun todta hai rishte yun bewajah ke bawaalon mein Muddat baad Harsun   aaj bhi ek hi soorat dikhti hai Basaa hai jo kisi aur kee goshon aur dayaaron mein Aasmaan par baadlon ki tarah guzarta hai bin barse Aur baarish ka mausam bhi sookh gaya intezaaron mein Humne wo dard mol le liye hai bin daam ke bin baat ke Milti nahin jiski dawaa duniya ke kisi bhi bazaaron mein Meri gustakhiyon ki sazaa aakhir maut kyun nahi Ke hum to yun bhi quaid hein apni hi mazaaron mein Hum nijaat paate nahin, woh paas aate nahin Bechaini magar dikhti hai unke bhi hawaalon mein Hasraten ginte the jin ungliyon par gin gin kar Toote hein armaan uske saikdon hazaaron mein               Uske bina andhera hi milta hai door tak faila
maine tumhen tumse kahin zyaada pyaar kiya Khud se zyaada hamesha tum par aitbaar kiya Tumse maanga tha saath, tumne thukraa diya Aur mujhe khud se hi is kadar sharmsaar kiya
Mera maajhi meri kashti ko wahin dubone aaya Jahaan mere maazi ne ek din mera saath chhoda tha Kismet se zyaada zaalim mera naakhuda nikla usne kinaare se lahron ki taraf safeene ka muh moda tha
Koi rishte banana aur nibhanaa nahin jaanta Koi rishte todna aur thukranaa nahin jaanta Dua ko haath sab uthaate hein jaanib khuda k Koi rahmat paakar bhi sir jhukana nahi jaanta
Mere labon pe ek naam aata hai guzar jaata hai Mere dil se us shaks ka kuch ajeeb sa naata hai Main usse ladun-jhagdun woh toh mera haq hai Bardaasht nahi hota jab koi aur ungli uthata hai
Dasht-e-yaad se nikal kar kya haasil hoga yaaron Door tak faili hai khushboo uski phoolon ki tarah
Tumse baaaten, mulaaqaaten meri kismet me kahan Meri taqdeer mein to tumse sirf ek lambi judaai hai
Apne khwaabon me mere khwaabon ko panaah de do Bhatak rahen hein bechare yun hi barson se dar b dar
Maine kab tumse tumhara waqt sara maanga tha Bus sabhalne ko tumse thoda sahara maanga tha Tum saahil pe khade the aur hum bhanwar mein Tumse tumhari zameen ka ik kinaara maanga tha Tere pyaar mein teri parasti ko is qadar bebas hue Ke tere kadamo mein ek kona dobara maanga tha Apne raqeeb se guzaarish karen bhi toh kaise kare Usse uska nahin, haq humne hamaara maanga tha Hasraten dil ki kya thi kya rah gayi e mere khuda Khudai nahi Teri rahmaton ka ishaara maanga tha
Kabhi tum humse milne k liye bechain hote the Kabhi humne tumse milne ki ghuhaar lagaai thi Kabhi kambhakt waqt dhoka dekar yu guzar gaya Kabhi mui taqdeer hi aadhre haathon aayi thi
Tumhara woh mere ghar tak aana kaise bhoolen Tumhara wo darwaaza khatkhatana kaise bhoolen Tumhari   woh aawaaz aaj bhi bhulaayi nahin jaati Tumhara bechainiyon ko chupana kaise bhoolen Tum yaad karte the ye bhoolna mumkin hi nahin Tumhara who meri yaadon me aana kaise bhoolen Tumhari baaten aur shikaayaten ab bhi yaad hein Tumhara wo baat baat par rooth jaana kaise bhoolen Tumhara raahon mein palken bichana to yaad nahin Tumhari raahon me aankhen bichana kaise bhoolen Tum nahin ho mere naseeb mein, iska ilm hai hume Tumhara phir bhi mere nazdeek aana kaise bhoolen
kinaare par rahkar saagar ki gahraai naapte ho, utro to pani mein dekhen tum me dum kitna hai, kishtiyan kya chalengi, laharen kya duboyengi, aao ke yahan paani sirf tumhare ghutne jitna hai... bekaar hi darte ho tum zindgi ke thapedon se jee lo jee bhar ke, aakhir zindgi ka sirf itna hai? jo isko tair jaata hai, bus wo hi paar paata hai sab khel hai zindgi ka aur zindgi khud fitnaa hai jeet lo gar jeet sakte ho waqt ke har lamhe ko anjaam e zeest toh aakhirish isko mitna hai...
Sab kuch hai lekin phir bhi ek kami si lagti hai Saans hai magar zindgi kuch thami si lagti hai Kaun rah gaya akela bichad ke mere saaye se Meri parchaai mein ik tasveer jami si lagti hai Baadlon se nikal k ek chota tukda aasmaa ka Gira jahaan wo ek anjaan zameen si lagti hai Honth beshaq zaahir kar bhi den hansi teri Aankhon mein magar ek ghami si lagti hai Muddat hui abr aabshaar n hue ghar pe mere Aaj uske aane pe hawaa me ek nami si lagti hai
Meri Choti si gudia ab badi ho chali hai Aage ki duniya bus tere piya ki gali hai Tu dil ka tukda tu mere ghar ki bahaar Mahkta mera aagna tu wo mithi kali hai Wo chote chote se paanvon se matak matak ke chalna Wo thirakna har geet pe aur baat baat pe machalna Wo gusse mein muh fulaana aur woh aankhen dikhana Har baat se teri yaaden judi hein Meri choti si gudia ab badi ho chai hai Wo padna, padaana aur bahaane banaana Wo doston ke saath ghanton tak batiyaana Wo khat wo letter sabse chupaana Har baat se sach teri yaaden judi hein Meri choti si gudia ab badi ho chali hai Kuch baaten ab meri bhi tu sunti jaa bitiya….Ye yaad rakhna ke yeh ghar ab tera to hai magar tujhse paraya hai tu Jahaan jaa rahi hai wo tere sapno ka saya hai Wahin maa milegi tujhe wahin pita bhi honge Wahi humne tere aane waale kal ka sansaar banaya hai Wahan kaante bhi honge aur phool bhi khilenge Wahin sukh bhi hoga aur dukh bhi milenge Wahin tere daaman mein chaa
Us waqt wo dastak deta hai khayaalon mein Jab uska har khayaal zahan se utar jaata hai Kashmkash tab itni bad jaati hai zindgi mein Jab wo be rok tok tasavvur me chalaa aata hai
Pardon mein chupi mohabbat ki bhi khabar ho jaati hai Wo Jhuki nazar ki nazaakat aur dheere se muskuraana …
Yeh sach hai ke hum begairat hein Magar hume begairat kisne banaya? Jab hum dur gaye, tune aawaaz lagaai Aur jab waapas aaye tune hi thukraya… Samajh n paaye aajtak tere iraadon ko Na tere ishaare hi samajh aaye hume Jis waqt socha tujhe bhula diya dil ne Us waqt jaane kyu tu behad yaad aaya…
Tum bhool na sakoge, hum bhulane bhi nahin denge Hum sirf ek yaad nahi jo guzre toh zahan se utar gaye
Ab pyaar nahin, Intezaar nahin Tere liye dil Bekaraar bhi nahin Tujhse bichad ke jee paayenge Lekin Is baat ka aitbaar bhi nahin ....
Maine tumhen har roz ek khat likha hai Padoge to wo mera haal-e-dil bataaega magar tum tak use   pahunchane ka hausla mujh me shaayad kabhi nahin aayega ….
badi bedard hoti hai mohabbat me neend ki khumaari agar aat jaati hai to ek sazaa nahin aati to beemaari...
jab woh karen to unki adaa, gar hum karen to aadat hai yeh shikaayat karna aashiqui me, dastoor e mohabbat hai
Beqaraari aur bechaini besabab nahi hoti, kuch bhi na hota gar mohabbat nahi hoti.
Na gila rakhte hein apne se na shikaayat hi hai kisi aur se Ye mohabbaton ke baaziyan hein, kabhi jeete kabhi haare
Meri har raat ki bechainiyon ka sabab aisa hai ke Kabhi uska khwaab aata hai aur kabhi nahin aata
for my brother-in-law who passed away on 25.5.2013 Nazar dhoodhti rah jaati hai us shaks ko Jo door bahot door jab chalaa jaata hai us jahaan mein jaane koi kaise rahta hoga jidhar jaane se jeete ji har koi ghabraata hai kya wahan bhi aasmaan neela hota hoga kya wahan bhi mausam badalte honge kya wahan bhi sukh dukh ka kaarvaan yu hi zindgi ko bitaane ka zariya banaya jaata hai? Kya sachmuch mein koi khuda hota hoga Kya farishte zahad ka taqaaza karte honge Yan dozakh aur jannat ke darwaazon par Insaan khud Karamon ka taala lagaata hai? Kya hooren wahan insaani dil bahalaati hongi Kya pariyan apne seene se lagaati hongi Kya sar-e-arsh ki hasrat rakhne waalon ko Bin sharton ke wahaan Qaboola jaata hai? Jo hasraten rah gayin thi jahaan mein baaki Kya us jahaan mein mukkammil hoti hongi Kya insaan ki taqdeer aur tadbeer ka hisaab Agle janam ki shakl mein likhaa jaata hai??? Farishte: angels, Zahad: good deed, taqazaa: settlement, doz
Baarish ki boonden tab barasti hein aatish-e-wasl bujhaane ko Aasmaa jab betaab ho jaata hai apni zameen ko gale lagaane ko
Roz b roz wasal-e-yaar ki gunjaaish theek nahin Mohabbat me kismet ki aazmaaish theek nahin Majbooriyan tod deti hein kasam-o-waadon ko Yu ta umr saath nibhane ki farmaaish theek nahi
aashiqui karna jab kabhi fitrat me shaamil ho jaaye, mohabbat ki kasmo ko koi bhalaa kaise nibhaaye
Yeh chashm ab aabshaar nahi hote Yeh ahsaas bhi ab bekaraar nahin hote zindgi baarish ki chaah me yun guzaari k dil k ujde chaman ab gulzaar nahi hote
teri aankhon ke shraaron se pareshaan hein yeh ishaare bhi karti hein to zaahir nahi hota jhuki rahti hein mere chehre par door se bhi hum dhoka kha jaate gar tu maahir nahi hota
humne haath uthaakar maangi duaayen jis kamzarf ki khaatir woh girne pe is kadar aamdaa tha k usne uthe haath tod daale pahle sirf ek shaq tha ke woh gunaahgaar hai meri barbadi ka par ab uske daaman mein chupe khanjar ne saare raaz khol daale..
humne raham karne ki guzaarish chhod di us beraham se ke gar woh mera khuda hota to mere gum se juda na hota...
mujhe har baat par wo ek chawanni deta raha....... Pyaar ke izhaar karne par Uska intezaar karne par Haq na maangne par aur Haq-e-ikhtyaar karne par Magar Bazaar mein jo chalti nahi Keemat jiski chadti nahi Muththi bhar gayi meri   Kismet lekin badalti nahi J           Aur Itni chawanniyan ikathi ho gayi Ke ab lautane ka waqt hai Un khote sikkon ko aaj Uspar hi chalaane ka waqt hai J Isliye Ab har baat par hum use uski ek chawanni lautenge jitna usne hume sataya utna use hum sataayenge J Lekin na uska sikka chalaa bazaar me na mera sikka hi chal paayega magar ek sukun milega dil ko saara gum durust ho jaayega J
wo jo kuch khwaab chote chote se Tumhari aankhon mein basaaye the Kal raat wo tumhari shikaayat lekar           Dabe paanv khwaabon   me aaye the.. Unhone mujhe bataya ke tum aajkal raaton ko kuch Theek se sote nahin garam garam ashqon ko pee lete ho par bojhil aankhon ko bhigote nahin aksar raat ko mere khayaal tumhen raat raat bhar khoob sataate hein   karwat karwat der tak tumhara dil woh apni baaton se bhalaate hein kai baar tum bewajah akele mein apne aap me   yun hi muskurate ho apne zahan me mere tassavvur ko apne haatho se baar baar sajaate ho meri khushboo tumhari saans ko meri saanson se mahkaati hai   tumhare dil ki dhadkan rah rah ke mere dil ko aawaaz dekar bulati hai sach kaho ye sab kya tumhare saath hua hai kya maine tumhari zindgi ko is kadar chua hai????
Mujhe mujhse mile hue ek zamaana beet gaya Mera aaina bhi mujhe ab teri hi soorat dikhata hai Kaisi ajeeb si kahaani ban gayi hai teri badakashi k Jaam koi peeta hai, kadam mera dagmagaata hai Dur rahne ka iraada karte hein har shaam lekin Subah uska ek paigaam phir us tak le aata hai Hausla nahin hai magar dil jhooth mooth mein Usko tang karta hai aur khud ko bhi satata hai Khat likhne ki ek aadat si pad gayi hai is umr me Majmoon har harf ka bus haal-e-dil batata hai Aji kuch to hoga ilaaj is la-ilaaj marz ka miyan, Ke dekho bin ilaaj ke dil beemaar hua jaata hai
Meri nazar ko sabar nahi Uski nazar par asar nahi Dil usi pe kyu meharbaan Jise mere dil ki fikar nahi Sab ka haal poochta hai Bus mera koi zikar nahi kyu usi ki khabar rakhti hu Jise meri koi khabar nahi`...
Meri kalam bhi ab mujhe naraaz rahti hai Meri nazm bhi ab mujhse naraaz rahti hai Jab se maine likhna chhod diya hai yaaron Saari bazm bhi mujhse naraaz rahti hai... Mere ahsaas hi mere ashraar bante hein Wo khayaal hi mere panne pe utarte hein Jab se mere jazbaat guzar gaye nazaron se Meri chashm bhi mujhse naraaz rahti hai Riwaazon se hat kar ek rishta banaaya tha Toofaanon tak ne mera saath nibhaya tha Jab se toot gaye mera bharam sach maano Riti aur rasam bhi mujhse naraaz rahti hai Ummeedon se pare waadon se bahut pare Har nayi puraani yaadon se bhi bahut pare Jis shaks ke naam se har saughandh uthaai Tab se kasam bhi mujhse naraaz rahti hai...