कोई वादा, कोई करार न ले, के मेरा मुझ पर कोई इख्तेयार नहीं मेरा खुद से मरासिम है जीने का और किसी से कोई दरकार नहीं karaar - promise ikhteyaar - right maraasim - agreement darkaar - desire
Posts
- Get link
- X
- Other Apps
tere haath mein mera haath hai, mujhe zamaane se ab kya gharaz baaki kyu karoon logon ki nigaahon se parda tere aasre se ab hai hamara faraz baaki... bahot bebaak bahot waasiq hai sach mein ab bachi nahi is rishte mein koi laraz baaki kiske nishaane par hamari mohabbat hai lekin dooriyon mein bhi na koi daraz baki... gharaz - matlab aasre - dependence faraz - elevation waasiq - secure laraz - waver daraz - opening
- Get link
- X
- Other Apps
aadatan wo humse rooth jate hein aadatan hum unhe manaate hein phir bhi shikaayat rahti hai unhen k hum hi hein jo unhen satate hein ... kabhi baaten karne ko nahin hoti to bhi baaten khatam nahin hoti kabhi bahut kuch hota hai dil mei to din bhar unhen sunaate hein... kabhi judaai ka mausam aata hai toh waqt katna mushkil ho jata hai aalam-e-judaai me tab har ghadi dher se aansu hum bahaate hein ...