Posts

Showing posts from March, 2011
hamaari subah aati hai, hamaari shaam aati hai har dhadkan is dil ki magar kyun tere naam aati hai bahot bekaar si zindgi ho gayi hai yaarab bin tere koi aur nahi sirf teri yaad hi ab mere kaam aati hai
na choddi jaati hai, na sambhali jaati hai, teri preet sirf ab mera dil jalaati hai dard ki duhaai den ya aankh ki rulaai ki jab tab dekho bin bulaaye chali aati hai....
had ho gayi hai mere sabr ki, zabt ho gaya hai mera jabr bhi tere paigaam ki kami is tarah kali hai phatne ko hai aankh ka abr bhi -------------------------------- kaun kahta hai ke habeeb jaan nahin lete, ke unka tagaaful meri maut ka sabab na ban jaaye... --------------------------------------
na-ummeediyon ke beech mein bhi ummeden chooti nahin kyun kisi be-parwaah par itna aitbaar hai mujhe dil-e-naadaan ko samjhaaten hai, manaate hein rozana ke jaante hein kaise Ashqiyaa se pyaar hai mujhe Ashqiyaa - cruel
ishaaron ki zubaan jo samajhta nahin khudaya, us naa-samajh se samajhdaari ki ummeed kyun karen
rishton ki gunjal, rishton ke peche, rishton ki naazuk reshmi dor, tum kya jaano inki shiddat, tum kya samjho inka zor...
doobne ko samandar bhi kam pad gaya tairne chaaha toh kinaare door ho gaye itne charche hue hamaare pyaar ke har taraf ke badnaam gali gali hum huzoor ho gaye koi shikast nahin, koi gum bhi nahin koi iltjaa bhi ab karne ko baaki nahi rah gayi teri jaanib dekhte sabne hume dekh liya aur, doston ki mahfilon mein hum mashhoor ho gaye uff ye berukhi, aur uspar ye gureziyan tera aankh churana bhi teri adaa ban gayi barson ki ummeeden tooti to aadatan aankhon mein rote rote naasoor ho gaye
kuch pal bitaaye unke saath, ab tak bhi beete nahin har lamha aankhon mein unki sharaarat baaki hai unki baahon ka sahaara mila tha dum bhar ko lekin ab tak mere jism mein uski haraarat baaki hai

khuda ki soch

tere baad khuda ne mera naam likha hoga teri saans ke baad mujhe saansen di hogi tere wajood ke baad mera wajood sujhaya hoga tere saath meri taqdeer ko tabhi basaya hoga koi toh mere jeene ki wajah rahi hogi koi toh meri moujudgi ka sabab paya hoga is zameen par koi yun hi nahi aata koi toh bahaana kismat ne banaya hoga kabhi toh haathon mein lakeeren khinchi hongi kabhi toh mera bhi muqqaddar sajaya hoga tu hi haasil bane meri zindgi ka kabhi toh khuda ki soch mein ye aayaa hoga
roothne aur manaane ka haq hum bhi rakhte hein, tumhara kya, tum toh ye hunar aaj tak jaane nahin kabhi roothe hum, to tum hume manana na sake kabhi roothe tum, to humse maane nahin