Posts

Showing posts from February, 2011
kyun laut aaye ho meri zindgi mein ek baar phir, ba-mushkil bahot baras beet gaye tumhen bhulaane mein soyi si yaadon ka waasta den ya jaagi hui umeedon ka, dil abhi tak behosh hai ke lagega waqqt hosh aane mein ye maloom na tha, kahan chupaa tha naa-muraad pyaar tera ab tak dil ke kaun se kone mein, zindgi ke kaun se khaane mein bahot der kar di mere huzur aur itni sadiyan lagaa di apna pyaar jataane mein aur haal-e-dil bataane mein
suni si ek aawaaz phir suni, goonjta kaano mein ek geet sa dost ban kar juda hua tha, mila arse baad manmeet sa... bachpan ki maasoomiyat, ab tak chupi hai kahin ahsaas lekin badal gaye, jo dosti kabool na karta tha bin shabdon se bolta raha bhari mehfil mein aur har lafz lagta uska an-bujhi preet sa.... phir usko wahin khadaa paaya, jahan se bichda tha kabhi unhi sadkon par sar jhukaaye gungunaata hua sar uthaaya aur muskuraaya aur suraj nikal aaya shaayad tabhi aaj ka din lagaa , tees baras puraane ateet sa...
kal se pahle anjaana tha woh, kal tak bhi paraaya tha, ek guma hua shaks laut kar, phir meri zindgi mein kaise aaya tha? Barson pahle haath badaya tha humne barson pahle usne ye hausla na dikhaya tha aaj bhi ye sahra hamaare sar, ke pahle kadam humne hi us taraf badaya tha aaj din bhar dil mein shor raha aaj khaamoshi ne meri uska naam dohraya tha lekin zahan mein sawaal uth rahe hein ke, kya yeh hi shaks kabhi mere saaye ka humsaya tha? ek arsa beet gaya hai, khwaabon ko door rakha tha aankhon se magar raat ko arse baad phir ek haseen khwaab aankhon mein chaaya tha palkon se khmbkhat nikla hi nahin saari raat kal usne is kadar jagaaya tha ye dosti nibhaai ya dushmani nikaali dil ab tak samajh na paayaa tha....
kyun sataate ho mujhe kyun jagaate ho, kyun gayi raat mere khwaabon mein aate ho koi haq nahin hai phir bhi haq jataate ho kis hausle se mere dil mein samaate ho???
kabhi apna lagta hai kabhi sapna lagta hai kyun sukun se zyaada achcha ab tadapna lagta hai???
Dil-e-maasoom ko is kadar sataya gaya ke dard ki shiddat bhi ab mahsoos nahi hoti aansuon ka takaazaa bhi ab hum nahi karte aur kambkhat aankh bhi ab aabshaar nahi hoti
ab kis kis se gila karen, sabne aaj dushmani nibhaai hai, neend ki jagah aankhon ne aaj kisiki surat basaai hai....
tum kisi aur ke sarmaye the, phir kyun mere paas aaye the theek hai ek aawaaz humne bhi di thi ke hum na jaante the ke tum kitne paraaye the hamaari be-shauri thi aur aankhon pe parda tha ke lagaa woh mehfil mein hamaari khaatir aaye the ab koi shikwa nahin, na gila koi tumse ke hamaare paas woh pal hein jo humne us din churaaye the...
neend aakaar aankhon se waapas ja rahi hai tumhen aana hai to yaad nahi khawaab bankar aa jao bahut thak chuke hein ladte ladte haalaaton se kuch toh raham karo, kuch toh karam farmaao
kal khaamosh rah kar mujhe pareshaan kiya aaj meri khaamoshi se kyun woh be-zaar ho gaya ya khuda, ye tera kahar hai ya karam ke is ajeeb shaks se mujhe pyaar ho gaya
Ab yeh unki be-rukhi thi ya hamaari be-basi, ke din bhar unka intezaar-d-paigaam kiya, har aahat pe lagaa ab naambaar aaya, har aawaaz pe dil-e-maasoom ko thaam liya...

koi sawera nahin

tum bewafaa toh nahi, be-parwaah zaroor ho, kya tumhara waqt ka ek lamha bhi mera nahin, kyun umr bhar intezaar kiya raat beetne ka, jab mere muqqaddar mein koi sawera nahin....
ghazal mein piro kar usne haal-e-dil sunaya chashm bhar aayi magar aansu na baahar aaya zabt kar li apni diwaangi hamne kuch is tarah aur baarish ki shakl mein ashqon ka aabshaar banaya
us ab raat ko aur na kosiye ke raat bhi haseen hoti hai kitni maasoom lagti hai ye jab odd kar taaron ko soti hai kahin kisi dukaan par itna kaajal nahi jitna har raat is raat mein hoti hai ye chaand ko bad nazar se bachaane ko khud ko kaalikh mein bhigoti hai... sach raat bahot haseen hoti hai...
har gosh mein ek khwaab chupa baitha hai... zaraa jaale utaarna sambhal sambhal ke!!!! ------------------------------------------------ zulm ki hukumat zulm ke pahar talak, baaki raat ka bhi koi khairkhwa nahi, teg ki dhaar tez karte raho beshaq kaatni hai gar raat ki saugaat yaron.... phir ek roshani ka bhabhaka uthega, phir ek jhini si kiran muskaraayegi bus tab tak hathiyaaron ko sambhal lo jab tak na guzar jaaye gum ki barsaat yaron..
kabhi hasne ke koshish ki toh aansu nikal aaye ke ab rone ke lamhe kaise hote hein kya pataa?????
kabhi kahti kahani, kabhi banti fasana, kisi pal rona, kabhi muskurana, zindgi khel khel mein beet jayegi, kisi pahlu gum, kahin hansi ka khazana.... -------------------------------------- koi waada na tha, koi karaar bhi na tha, dil ko magar uske aane ka intezaar bhi na tha, hum to us ek maraasim ko yaad karte hein jis maraasim par kabhi mera ikhtyaar na tha...... haand ne kabhi maraasim kiya hi nahi... (Agreement)...woh to raat ki bandishon mein yu hi quaid hai...jab jab raat aayegi, usko aana hi padega...kabhi poora, kabhi toota sa...haan, kabhi kabhi usko sunday mil jata hai, to chutti ho jati hai --------------------------------------- ya maula, woh shkas kahan baitha hai, jo tera naam lekar mujhe duaaen deta hai, uska bhi bhalaa ho jo bin baat kiye har baat pe, dil se meri khushiyon ko sadaaien deta hai......
uska mujasamma banana mumkin to nahi, garche ek baar koochi uthakar hum bhi dekhenge, tassavvur se utha ke chehra us naazneen ka, kaaghaz pe use utaarkar hum bhi dekhenge.....
Tu jaag, agar jaagte logon ko, phir jagaana hai, ke yahan neend mein koi kambakhat nahi hai, sab baithen hein intezaar mein kisi maseeha ki, rabt hai harek mein magar zabt nahi hai... rabt- closeness zabt-patience, tolerance
Wo ek kadam bhi na chale, hum meelon tay kar aaye khudaya unki berukhi par is dil ko koi kaise samjhaaye...
ashk ban kar teri aankhon me utar kar dekhun dard kitna hai inme aur kitni tanhaai hai kyun lakeer si khich kar teri aankhon se, gili si be-qaraar hokar tere gaalon pe utar aayi hai kiska aks chupa rakha hai in koron mein kiski khaamosh tasveer inme samaai hai kaun aakar ghar banaa gaya besaakhta hi kisne inki maasumiyat ko nazar lagaai hai ik palak uthi hai alsaati hui meri jaanib ik nazar kyun jhuk kar sharmaai hai us palak ki be-noor sargoshiyon ko humne ek baar phir roshan karne ki kasam khai hai yun to koi karaar nahi mera tere aansuon se na kabhi koi maraasim ki baat banaai hai phir bhi ek shouk tha wafaa karne ka beshaq isliye taa-umr tujhse wafaa nibhaai hai teri aankhon mein chupe har ashq se pooch le inki har boond pe humne jaan lutaai hai har taraf tujhko hi dekha kiya karte hein jabse teri soorat apni aankhon mein basaai hai
sapne dekhna faqat shouk nahin, sapno se meri saanson ki ravaani hai, unn sapno ko haasil karne ka junoon hi meri zindgi ki kahani hai, har khwaab sach ho jaaye, ye mumkin toh nahin hai doston, haan, koshishyen karna kaamyaabi talak, meri ek aadat purani hai, log band aankhon mein sapne sambhaalte hein aksar, khuli aankhon mein sapne sanjona, sachmuch ek ajab diwani hai, ab ise meri be-shaouri samajhiye ya ke hamaaqat samajh lijiye, mehfil mei baithe ahbaab khate hein tu waakai laa-saani hai.. faqat - only shouk - hobby ravaani - flow be-shauri - stupidity hamaaqat - foolishness ahbaab - friends waakai - actually laa-saani - matchless

n response to Nitin Sharma's note on corrupt politicians....

pahla kadam koi toh uthaaye, koi to thokar maare, koi toh jhunjhalaye, mulk ke baashinde sabhi chillate hein, humukraano ko magar koi to jagaaye, sab ki kaat hai zamaane mein lekin, koi to haathon mein shamsheer uthaaye, raasten veeran nahin, haan, siiyahiyon se bhare hein koi to mashaal jalaakar inki taariiki mitaaye, aawaam chup baithi hai, magar goongi nahi, bolegi, magar koi to pahli aawaaz uthaye hum tyaar hein, use rah-numa banaane ko, koi to is desh mein inqlaab laaye. jhunjhalaye - irritate baashinde - people mulk - country hukumrano - rulers kaat - cure shamsheer - sword siyaahiyon - darkness taariki - darkness aawaam - public rah-numa - leader
Wo ek kadam bhi na chale, hum meelon tay kar aaye khudaya unki berukhi par is dil ko koi kaise samjhaaye...

to all KVTG friends....

yaaden dohra rahin hein woh manzar phir ek baar, kuch bachpan ke pal aur bhoole lamhen hazaar lauta ke laayega waqt phir dost purane ek shaam us shaam ka bahot be-sabri se hai hume intezaar... yaaden dohra rahin hein woh manzar phir ek baar, kuch bachpan ke pal aur bhoole lamhen hazaar lauta ke laayega waqt phir dost purane ek shaam us shaam ka bahot be-sabri se hai hume intezaar... ek arsa beet gaya doston se mile hue, bus baras dar baras ka beetna yaad hai...
har pal ek yaad ban gaya yaaron waqt aaj kaise guzar gaya yaaron koshishen bahot ki thaamne ko har ghadi tasveeron mein lamha lamha utar gaya yaaron... thanks to everyone who attended the reunion...and missed everyone who didn't
zindgi ko kabhi paas jaakar dekha hai, zindgi ko kabhi apna banaakar dekha hai, jeena toh aasaan hai lekin e dost mere, kabhi maut ki taraf muskura kar dekha hai....
quaid kar liya tasveeron ko in aankhon mein jab se mizhgaan par thahare hue ashq behne ko beqraar hein tab se muddaten hui bheege nahi baarish mein e yaar mere chupaane hein aaj aansu, toh maangen hein baadal rab se .....
har anjaan shaks mein ek dost chupa baitha hai, bus dilon ke darmiyaan deewaron ka girna zaroori hai
pyaar dhoondhna behad zaroori hai jeene ko aajkal sab taraf nafraton ki ibaadat hai... ------------------------------------------------ zindadil sehra mein bhi naagfani dhoondh lete hein ke dileri se jeena bhi ek aadat hai... sehra - desert naagfani - cactus ------------------------------------------- zindgi ritiyon aur riwaazon ke gunjal mein kab dum tod deti hai, khabar nahi hoti sirf mukaam pe mukaam guzarte rahte hein aur mukaam pe mukaam guzar jaate hein....
Dil-e-Naadan ko hosh aaya hi kab tha, ke madhosh hue ek zamana beet gaya, jin zakhmon ka shumaar bhi na kabhi is dil ko, unka hisaab rakhte hue waqt muheet gaya... muheet-encompass This heart is unconscious to its pains, only time has secretly kept an account of them. ------------------------------------------------------ kaun sikandar bhalaa khud se jahaan jeeta tha har sikandar ne saikdon pyaade maut ke bhent chadaaye... saikdon - hundreds pyaade - soldiers
meri aankhon ki gaharaai mein meri umr bhar ka tajurba chupa hai, ab koi inhen sharaarat samjhe, toh samjha kare.... ---------------------------------------- aankhen dil-e-naadan ki zubaan hoti hein aur dil aankhon ka aaina ban jaata hai bachpan ki sharaaraton ko phir ta-umr zariya-e-chashm ban aks dikhlata hai ab ye baat aur hai ke bachpan ke lamhen aaj bhi mera maazi lauta laata hai aur unn lamhon ki kasak ko aap jaisa koi sharaarat ka naam yun hi diye jaata hai... ta-umr -life long zariya-e-chashm - through eyes aks - reflection maazi - past
kuch toh majboori rahi hogi apni bhi, ke chaahkar bhi mil na sake, inshaallah daur-e-mulaakaat ke jashn abhi aur aayenge .... --------------------------------------------- aankhen dil-e-naadan ki zubaan hoti hein, aur dil aankhon ka aaina ban jaata hai, bachpan ki sharaaraton ko phir ta-umr, zariya-e-chashm ban aks dikhlata hai, ab ye baat aur hai ke bachpan ke lamhen, aaj bhi mera maazi lauta laata hai, aur unn lamhon ki kasak ko aap jaisa koi, sharaarat ka naam yun hi diye jaata hai...
raunken tere ru se hein, roshini tere rubru se, aur muskurana uspe tera, waah ji waah... ----------------------------- phir mehfil sajaai gayi, mujhe bhi aawaaz lagaai gayi, doston ke dyaaron par phir, mere naam ki shamaa jalaai gayi.... ------------------------------ tasveeron mein jo chehre dekhe, kabhi unse zindgi waabasta thi, kuch ajnabi se zaroor lage, wo bichde dost mere....
na nazar tirchi hai, na muskuraahat katilana, ye musavvir ki koochi ka gosh nirala hai.... musavvir - artist koochi - paint brush gosh - angle
Bahot kashmkash hai, bahot baichainyan hein, har ghadi jaan ko aatish ban jalaati hai, hansten hue waqt aansu atakte hein labon pe, royen toh muskuraahten aankhon ki bheeg jaati hein....
zindgi ki ibtadaa se waakif hein sab, lekin jaane ka na waqt tay hai, na zariya, har lamha khul ke jeeo ke kaun jaane, kaun sa lamha aakhri lamha ho jeene ka... har jaam poora bhar de e saaki mere meene mein, haan, chalakne talak ke phir mauka lage na lage, saath doston ke baith kar peene ka...
har chaman gulzaar hota hai gar baagbaan hifaazat kare, ke veeraano mein ugte phool aksar jangli kahlaaten hein... khudaya baksh de apni inaayaten un safedposhon ko bhi, jo khud kufr karke, mazloomon pe ungli uthaate hein... baagbaan- gardener safedposh - white collared people kufr - Infidelity mazloom - oppressed
beete hue pal yaaden ban jaate hein, har yaad chote chote palon ki ladi hai, pal-pal yug bane aur yug bhi beet gaye yaad lekin ab bhi wahin khadi hai.....

pain of cancer patients

dard jaata nahi na hi dard ki shiddat kam hoti hai, marz aisa hai ke chaargaar bhi rota hai ilaaj karte karte... khwaaishen sab simat bus ek khwaaish mein samaa jaati hein ke jeena hai abhi aur kuch din mujhe marte marte......
butparasti ka kufr karke sar navaate hein hum jaise hi zamaane mein kaafir kahlaate hein, ebaadat karna shauk nahi aadat ban chuki hai, har roz isliye teri chaukhat pe aate hein...
wo jhootha hai jo zamaane mein tanha hone ka dum bharta hai, bhalaa yaaden, khwaab aur ummeedein kabhi daaman chhodti hein har mod pe mil jaatin hein kambakht be-saakhtah aur be-sabab, aur dil-e-maasoom ko sau sau baar todti aur jodti hein....
kya pyaar, kya khumaar, kya betaabiyan hoti hein, sirf ek chaahat sab rang dikha jaati hai, jab din mein qaraar nahin aata aur raaton ko neend nahi aati hai ----------------------------------------- ek kadam, do kadam, har kadam saath dena, raaste khatam na bhi ho, waqt achcha guzar jaayega.... ---------------------------------------- samandar se falak tak sab kuch bheeg gaya, aansuon ne jab palak tak ka safar tay kiya... ---------------------------------------- umr ki seemayen, umr hi jaane, dil ko seemaon ka koi bodh nahi hai, har din jeeo jeevan ka jeete hue, khushi ka milna tab avrodh nahi hai
o raaste chhod aaye, jin logon se muh mod aaye, unn modo ko dobara mud ke na dekho to bhalaa... dard bhari aankhon se, muskurate hue hontho se, phir beete waqt se dobara jud ke na dekho to bhalaa na kuch haasil hota hai, na kuch aaraam mita hai, unn raaston pe jaakar, dard bina daam milta hai, jeeo zamin par, khud ke saath, phir beshaq tanha aur aasmaanon mein ud ke na dekho to bhalaa...
fizaaon mein ek khushboo hai jo zahan se jaati nahi, hawaaon ki taazgi, falak tak mein samaati nahi, chashme aab thanda pad gaya is mausam mein, dilon ki aag ab kisi ki hasti ko jalaati nahi sardiyon ke aagosh mein subah ka sooraj hai aur sooraj ki garmi ab jismon ko tapaati nahi, lihaafon ko odkar raaton ko soten hein aajkal, aur chaandi raaten barf bankar ab hume satati nahi....
thaam kar waqt ko apni muththi mein, phir se lakeeron ko badalna hai, abhi safar bahut baaki hai, abhi bahut der tak chalna hai.... ---------------------------------------- rangon aur raagon se zindgi sajaati hai, mohabbat ke saaz gungunaati hai, dilon mein yu hi bas jaati hai woh ek shaksiyat jo ye geet gaati hai ....
zarooraten aur bhookh jitni badaao, utni badti hai, kahin ek roti se kaam chal jaata hai, kabhi saari dharti bhi kam padti hai --------------------------------------------------------- rahbaron ko raaston ka ilm nahin, yun hi rahanumaa banne ka dum barte hein, hum bhi wo musaafir hein jo sir phire, jp akele hi apna safar khatam karte hein... rahbar-guide rahnumaa-guide sir phire- head strong

(For Rahul's mother)

aankhon ne aakhon se dard bayaan kiya, aankhon ne uss dard ko aankhon mein samet liya...
dil ko ab ek qaraar hai ke tere qaraar par aitbaar hai mere paas waqt hai intezaar karne ko, haan, ab waqt khud beqaraar hai

for kamal

sirf ek saans hi toh thi, jo ab toot gayi warna jism yahin pe tha, yahin pe rah gaya hazaaron khwaaishon se basti thi jo zindgi uska katra katra hawaaon mein bah gaya.....
unki mehfil mein peene ki baat chali, aur sabki nigaahen teri nazar ko dekhen chand lamhon ki badaakashi mein kitne pee kar uthe aur kitne jee uthe ----------------------------------------- hum bazm se kya uthe, unki daastan-e-bayaani ruk gayi haan, charche hamare magar ab tak, mahfilon mein hote hein --------------------------------------------- kabhi ek din mein sadiyan guzar jaatin hein, kabhi ek raat ke chaar pahar nahi guzar paate, waqt ke saaye kabhi kad se lambe ho jaate hein aur kabhi apne saaye bhi nahi nazar aate...

obit/ ravisha's poem...translated by me

un sapno ka kya jo ek din apni maut se mar jaate hein? kya kahin zinda rahte hein ya sachmuch guzar jaate hein? kya unka bhi koi jizm hota hai, jaan hoti hai kya unki bhi haar aur jeet ki daastan hoti hai, kya dil ki pashemaaniyon se woh bhi ghabrakar bikhar jaate hein? un sapno ka kya jo ek din apni maut se mar jaate hein? kya murda sapno ki kabr par hi naye khwaab ugte hein ya zindadili se chote khwaab aankhon ke kinaare rukte hein aur purane khwaabon ki ruksati ko ad jaate hein un sapno ka kya jo ek din apni maut se mar jaate hein? originally my daughter's english poem...translated by me in hindi/urdu

us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha

Mere ghar ke paas ek yateemkhana hai Ghar kisi ka nahi magar bahuton ka thikana hai Us yateemkhane ke baahar ek din ek bachcha khada tha, aansuon ko rokne ki koshishon mei ro pada tha siskiyon pe siskiyan leta, phir hichki aa jaati, ulte haath se aankh ponchta, phir aankh chalak jaati, us maasoom ka dard duniya ke sab dukhon se bada tha us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha... na maa ka dulaara tha, na baap ka pyaara tha, is bhari duniya mein akela taqdeer ka maara tha, na uska sar sahlaane ko kabhi koi haath bada tha us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha... khelne ko koi saath saathi na the na khilono ki pitaari bus ek bhayaanak akelapan tha ek uski khuddari magar kisi ka haath thaamne ko bechain hua pada tha us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha... uske chehre pe badhawaasi thi aur gumon ka saaya tha is jahaan mein koi apna na tha aur har koi paraaya tha sapno ki jagah aankhon mein dard beshumaar bharaa tha us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha
humne waqt -e-baadaah mein paimaanon ki shumaari na ki, aur us tangdil kambakhat ne meri hichkiyan tak gin daali
translation of ravisha's peom...grey thand bahot hai, bahot bahot zyaada, bahot si raaton se zyaada, khushk aur sookhi, bin bu magar, apni barfaani mahak liye, aur usme ek bu hai... sardti hui sardi ki.. honth ek honthon ki garmi se doosre honthon ki garmi tak jism ek baahon se nikal doosri baahon ki narmi tak aur main ek jamaa jua barf ka safed mujasmaa ek aag se doosri aag tak aag mahsoos hoti hai magar jism ki barf pighalti nahi tukda tukda toot kar girti hai, aur mujhe dard mahsoos hota hai, aur zahan mein ek soch uth rahi hai ab sukoon chaahiye...
Rindon aur baashindon ko khabar ho, ke bazm mein wo aag lagaane aaye hein jinke naseeb mein jaam hein wo badnaseeb hein bekhaufi se wo nazaron se pilaane aaye hein... --------------------------------------------- sabr aur zabt libaas hein meri rooh ke is khaaksaar jism ke azaab abhi kam hai tere sitam aur bade toh parwaah nahi hume ke abhi aur himmat hai, abhi aur dam hai
be-khauf magar be-sabab jeete the kya kahen kaise lamhen hum par beete the kisi ek shaks ke aagaaz se anjaam badla bhar gaye wo gosh-e-zindgi jo reete the... be-kahuf - fearless be-sabab - without reason aagaaz - to start gosh-e-zindgi - corners of life reete - empty
aankhon mein ek muskuraahat basaa kar dekho harek chehra khilkhilaata nazar aayega.... baant lo apni masarraten zamaane se har katra khushi ka dugna ho jaayega gamon ka kya wo aate hein, to aane do gar tawajjo na do to, gum kya sataayega aasmaa sa bano jo pursukun rahta hai raat din koi nahi phir teri taskeeniyan cheen paayega masarraten - happiness tawajjo - dhyaan dena pursukun - peaceful taskeeniyan - happiness
safeene bhi kinaare pe doobte hein, tairaak samundar mein samaa jaate hein, sirf hauslon ko barkaraar rakhen toh doobte waqt tinke bhi kaam aa jaate hein..
Hathon ke paimaane mein har gum doob jaata hai, nashaa utarte hi phir nasheman pe bijliyan giraata hai, kamzarf gum ka asir har ek baashinda hai, kyunkar koi is quaid se nijaat nahi paata hai nasheman - nest kamzarf - mean asir - prisoner baashinda - person nijaat - relief
har anjaan shaks mein ek dost chupa baitha hai, bus dilon ke darmiyaan deewaron ka girna zaroori hai ------------------------------------- dushmanon se kya malaali aur doston se kya khush haali hum jindam, jahaan jindam ko usool banaa lo jo dushman bhi mile zinda dili se usko gale lagaa lo jo dost bankar bhi gum de, uspe khaak daalo ------------------------------------- apni kabr mein bhi khwaab sajaa rakhen hein e maut tujhse khaufzadaa ab meri zeest nahi mere hauslon ki kadr mere dushmanon ne bhi ki ab mukhtalif mere habeeb-o-raqeebon ki fahrist nahi -------------------------------------- janaab qissa-e-maraasim ab kya bataayen ke ab tak saanson se kiya quraar baaki hai abhi waade aur qual kyun shumaar karen abhi zindgi ko khud par aitbaar baki hai.... -------------------------------------- goonjti sadaayen kyun chup si ho gayin kiska khaauf hai jo dil dhadkaata hai kiske aane ke andeshe bhar se maut ka sa sannaatta chaa jata hai kis ka girebaan pakden, kisko dosh den kaun se mulk ka