kal se pahle anjaana tha woh,
kal tak bhi paraaya tha,
ek guma hua shaks laut kar,
phir meri zindgi mein kaise aaya tha?
Barson pahle haath badaya tha humne
barson pahle usne ye hausla na dikhaya tha
aaj bhi ye sahra hamaare sar,
ke pahle kadam humne hi us taraf badaya tha
aaj din bhar dil mein shor raha
aaj khaamoshi ne meri uska naam dohraya tha
lekin zahan mein sawaal uth rahe hein ke,
kya yeh hi shaks kabhi mere saaye ka humsaya tha?
ek arsa beet gaya hai,
khwaabon ko door rakha tha aankhon se
magar raat ko arse baad phir
ek haseen khwaab aankhon mein chaaya tha
palkon se khmbkhat nikla hi nahin
saari raat kal usne is kadar jagaaya tha
ye dosti nibhaai ya dushmani nikaali
dil ab tak samajh na paayaa tha....

Popular posts from this blog