fizaaon mein ek khushboo hai jo zahan se jaati nahi,
hawaaon ki taazgi, falak tak mein samaati nahi,
chashme aab thanda pad gaya is mausam mein,
dilon ki aag ab kisi ki hasti ko jalaati nahi
sardiyon ke aagosh mein subah ka sooraj hai
aur sooraj ki garmi ab jismon ko tapaati nahi,
lihaafon ko odkar raaton ko soten hein aajkal,
aur chaandi raaten barf bankar ab hume satati nahi....

Popular posts from this blog