kuch toh majboori rahi hogi apni bhi, ke chaahkar bhi mil na sake,
inshaallah daur-e-mulaakaat ke jashn abhi aur aayenge ....

---------------------------------------------

aankhen dil-e-naadan ki zubaan hoti hein,
aur dil aankhon ka aaina ban jaata hai,
bachpan ki sharaaraton ko phir ta-umr,
zariya-e-chashm ban aks dikhlata hai,
ab ye baat aur hai ke bachpan ke lamhen,
aaj bhi mera maazi lauta laata hai,
aur unn lamhon ki kasak ko aap jaisa koi,
sharaarat ka naam yun hi diye jaata hai...

Popular posts from this blog