ashk ban kar teri aankhon me utar kar dekhun
dard kitna hai inme aur kitni tanhaai hai
kyun lakeer si khich kar teri aankhon se, gili si
be-qaraar hokar tere gaalon pe utar aayi hai

kiska aks chupa rakha hai in koron mein
kiski khaamosh tasveer inme samaai hai
kaun aakar ghar banaa gaya besaakhta hi
kisne inki maasumiyat ko nazar lagaai hai

ik palak uthi hai alsaati hui meri jaanib
ik nazar kyun jhuk kar sharmaai hai
us palak ki be-noor sargoshiyon ko humne
ek baar phir roshan karne ki kasam khai hai

yun to koi karaar nahi mera tere aansuon se
na kabhi koi maraasim ki baat banaai hai
phir bhi ek shouk tha wafaa karne ka
beshaq isliye taa-umr tujhse wafaa nibhaai hai

teri aankhon mein chupe har ashq se pooch le
inki har boond pe humne jaan lutaai hai
har taraf tujhko hi dekha kiya karte hein
jabse teri soorat apni aankhon mein basaai hai

Popular posts from this blog