n response to Nitin Sharma's note on corrupt politicians....

pahla kadam koi toh uthaaye,

koi to thokar maare, koi toh jhunjhalaye,

mulk ke baashinde sabhi chillate hein,

humukraano ko magar koi to jagaaye,

sab ki kaat hai zamaane mein lekin,

koi to haathon mein shamsheer uthaaye,

raasten veeran nahin, haan, siiyahiyon se bhare hein

koi to mashaal jalaakar inki taariiki mitaaye,

aawaam chup baithi hai, magar goongi nahi,

bolegi, magar koi to pahli aawaaz uthaye

hum tyaar hein, use rah-numa banaane ko,

koi to is desh mein inqlaab laaye.

jhunjhalaye - irritate

baashinde - people

mulk - country

hukumrano - rulers

kaat - cure

shamsheer - sword

siyaahiyon - darkness

taariki - darkness

aawaam - public

rah-numa - leader


Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार