kya pyaar, kya khumaar, kya betaabiyan hoti hein,
sirf ek chaahat sab rang dikha jaati hai,
jab din mein qaraar nahin aata
aur raaton ko neend nahi aati hai

-----------------------------------------

ek kadam, do kadam, har kadam saath dena,
raaste khatam na bhi ho, waqt achcha guzar jaayega....

----------------------------------------

samandar se falak tak sab kuch bheeg gaya,
aansuon ne jab palak tak ka safar tay kiya...

----------------------------------------


umr ki seemayen, umr hi jaane,
dil ko seemaon ka koi bodh nahi hai,
har din jeeo jeevan ka jeete hue,
khushi ka milna tab avrodh nahi hai

Popular posts from this blog