har anjaan shaks mein ek dost chupa baitha hai, bus
dilon ke darmiyaan deewaron ka girna zaroori hai

-------------------------------------

dushmanon se kya malaali aur doston se kya khush haali
hum jindam, jahaan jindam ko usool banaa lo
jo dushman bhi mile zinda dili se usko gale lagaa lo
jo dost bankar bhi gum de, uspe khaak daalo

-------------------------------------

apni kabr mein bhi khwaab sajaa rakhen hein
e maut tujhse khaufzadaa ab meri zeest nahi
mere hauslon ki kadr mere dushmanon ne bhi ki
ab mukhtalif mere habeeb-o-raqeebon ki fahrist nahi

--------------------------------------

janaab qissa-e-maraasim ab kya bataayen
ke ab tak saanson se kiya quraar baaki hai
abhi waade aur qual kyun shumaar karen
abhi zindgi ko khud par aitbaar baki hai....

--------------------------------------

goonjti sadaayen kyun chup si ho gayin
kiska khaauf hai jo dil dhadkaata hai
kiske aane ke andeshe bhar se
maut ka sa sannaatta chaa jata hai
kis ka girebaan pakden, kisko dosh den
kaun se mulk ka baashinda yu dahshat failaata hai
har sadme pe sochten hein bus aur nahin
ke har qissah nafrat ki aandhiyan badata hai..

--------------------------------------

Dasht-e-tanhaai bhi hai aur zindgi ke mele bhi hein,
bheed mein kho gaye hein aur akele bhi hein

---------------------------------------------

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार