meri aankhon ki gaharaai mein meri umr bhar ka tajurba chupa hai,
ab koi inhen sharaarat samjhe, toh samjha kare....

----------------------------------------


aankhen dil-e-naadan ki zubaan hoti hein
aur dil aankhon ka aaina ban jaata hai
bachpan ki sharaaraton ko phir ta-umr
zariya-e-chashm ban aks dikhlata hai
ab ye baat aur hai ke bachpan ke lamhen
aaj bhi mera maazi lauta laata hai
aur unn lamhon ki kasak ko aap jaisa koi
sharaarat ka naam yun hi diye jaata hai...

ta-umr -life long
zariya-e-chashm - through eyes
aks - reflection
maazi - past

Popular posts from this blog