Posts

Showing posts from October, 2012
ek din ka malaal agle din tak mat laaiye gusse mein beete lamhon ko dobara mat bitaaiye jo waqt bura lagaa ho use guzre waqt par chhod aaiye sirf hansi ke pal yaad kariye aur hasten hue zindgi bitaaiye
din bhar ke shikwe raat bhar mein mita do ke ye dil bahut maasoom hai gamon ko rakhne ke liye aaftaab har roz jung jeet jaata hai andheron se ke raat ka aanchal chota hai din ko dhakne ke liye
haath jodte hein tere aage, haath kholte hein tere aage tere aage hi sir jhukaate hein har roz tujhse dil ki baaten kahte hein teri hi sharan mein aate rahte hein teri kahaani khud ko sunaate hein har roz ik tera hi sahara, ik teri hi khawaaish ik tere hi naam ki alakh lagaate hein har roz tere aage kuch nahi, tujhse pare koi nahi is dil se tujhe hi bulaate hein har roz
mujhe abhi apne sapne paane hein bahut se khwaab sach kar dikhane hein meri aankhon mein saje adhoore se lagte hein mujhe ve khwaab dharaatal par laane hein
har raat khareed kar rakh loon har din rumaal mein chupaa loon jab safar shuru ho mera is zameen pe nayi kaaynaat basaa loon kahin tujhe taaron ki kami na khale kahin bin phoolon ke kaam na chale isliye socha khusbooyen aur roshniyan lekar apni muththi mein dabaa loon wahan sabaayen bhi le chalenge wahan fizaayen bhi le chalenge rang hayaat ko sabhi churaa kar chal apni aankhon mein samaa loon jo ghar banega hamara kuch juda hoga usme mere saath sirf mera khuda hoga sabke saath usme tujhe bhi sametkar apne is jahaan ko apne haathon sajaa loon...
mujhe baaton mein uljhaao mat meri hasti ko aur jalaao mat haq cheen ke mera jab baant diya mujhe tukdon se ab bahalaao mat tasveer ko sau jagahon se toda lakeeron ko baarhaan joda aur maroda har kona ab kataa-fataa naye panno pe usko chipkaao mat mujhme meri samajh kaafi hai tumhen apni soch rakhne ki maafi hai tum beshaq apne liye sachche ho magar meri soch ko yun jhuthlaao mat... mujhe baaton mein uljhaao mat...
teri dooriy mujhe tujhse beshaq bekhabar nahi karti haan, teri nazdeeki bhi ab mujhpe asar nahi karti waqt ke sailaab ne phir wahin par chhod diya hai hume jahaan tak teri yaadon ki kishti ab safar nahi karti,,, junoon-e-ishq chadta tha, utar ta tha taap ke jaise ab ke jo utra to mujhpe may bhi kuch asar nahi karti kaun sa woh chaargar hai jo murde ko zinda kar de saans tooti jo ek baar dobara phir basar nahi karti... kaun khuda, kaisa khuda gar bharosa uth gaya to us insaan ki wo khudaai bhi kadar nahi karti kabhi hawaayen, fizayen, balaayen sab ahwaal deti thi ab naambar ki chiththiyan bhi teri kabar nahi karti...
uske hone par ab yakeen kahan se laayen apne ghar ke liye zameen kahan se laayen wo jo arsh pe basaane ki baaten karta tha us shaks jaisa fitna haseen kahan se laayen bankar khuda mere zahan wo mein baith gaya jo jhuke na jaanib wo jabeen kahan se laayen uski har baat maan jaane ko ye dil karta hai jo usko bula le de wo taskeen kahan se laayen usse pare jaane ka bahana socha bhi nahi jo toot na saken wo lawahiqeen kahan se laayen teri mahfil mein hum bhi khade hein dekh to jo gaur farmaye wo haazreen kahan se laayen ... arsh - heaven fitna - magician zahan - thoughts jaanib - towards him jabeen - forehead takseen - comfort, peace lawaiqeen - relationship hazreen - audience