uske hone par ab yakeen kahan se laayen
apne ghar ke liye zameen kahan se laayen
wo jo arsh pe basaane ki baaten karta tha
us shaks jaisa fitna haseen kahan se laayen
bankar khuda mere zahan wo mein baith gaya
jo jhuke na jaanib wo jabeen kahan se laayen
uski har baat maan jaane ko ye dil karta hai
jo usko bula le de wo taskeen kahan se laayen
usse pare jaane ka bahana socha bhi nahi
jo toot na saken wo lawahiqeen kahan se laayen
teri mahfil mein hum bhi khade hein dekh to
jo gaur farmaye wo haazreen kahan se laayen ...

arsh - heaven
fitna - magician
zahan - thoughts
jaanib - towards him
jabeen - forehead
takseen - comfort, peace
lawaiqeen - relationship
hazreen - audience

Popular posts from this blog