teri dooriy mujhe tujhse beshaq bekhabar nahi karti
haan, teri nazdeeki bhi ab mujhpe asar nahi karti
waqt ke sailaab ne phir wahin par chhod diya hai hume
jahaan tak teri yaadon ki kishti ab safar nahi karti,,,

junoon-e-ishq chadta tha, utar ta tha taap ke jaise
ab ke jo utra to mujhpe may bhi kuch asar nahi karti
kaun sa woh chaargar hai jo murde ko zinda kar de
saans tooti jo ek baar dobara phir basar nahi karti...

kaun khuda, kaisa khuda gar bharosa uth gaya
to us insaan ki wo khudaai bhi kadar nahi karti
kabhi hawaayen, fizayen, balaayen sab ahwaal deti thi
ab naambar ki chiththiyan bhi teri kabar nahi karti...

Popular posts from this blog