aankhon mein ek muskuraahat basaa kar dekho
harek chehra khilkhilaata nazar aayega....
baant lo apni masarraten zamaane se
har katra khushi ka dugna ho jaayega
gamon ka kya wo aate hein, to aane do
gar tawajjo na do to, gum kya sataayega
aasmaa sa bano jo pursukun rahta hai raat din
koi nahi phir teri taskeeniyan cheen paayega

masarraten - happiness
tawajjo - dhyaan dena
pursukun - peaceful
taskeeniyan - happiness

Popular posts from this blog