us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha
Mere ghar ke paas ek yateemkhana hai
Ghar kisi ka nahi magar bahuton ka thikana hai
Us yateemkhane ke baahar ek din ek bachcha khada tha,
aansuon ko rokne ki koshishon mei ro pada tha
siskiyon pe siskiyan leta, phir hichki aa jaati,
ulte haath se aankh ponchta, phir aankh chalak jaati,
us maasoom ka dard duniya ke sab dukhon se bada tha
us yateemkhaane ke baahar ek bachcha khada tha...
na maa ka dulaara tha, na baap ka pyaara tha,
is bhari duniya mein akela taqdeer ka maara tha,
na uska sar sahlaane ko kabhi koi haath bada tha

khelne ko koi saath saathi na the na khilono ki pitaari
bus ek bhayaanak akelapan tha ek uski khuddari
magar kisi ka haath thaamne ko bechain hua pada tha

uske chehre pe badhawaasi thi aur gumon ka saaya tha
is jahaan mein koi apna na tha aur har koi paraaya tha
sapno ki jagah aankhon mein dard beshumaar bharaa tha

uska haal dekha to sharmsaar hui apne zameer se
sabkuch hai phir bhi shikaayat rahti hai apni taqdeer se
meri har jhoothi khushi se uska sachcha gum bada tha