sapne dekhna faqat shouk nahin, sapno se meri saanson ki ravaani hai,
unn sapno ko haasil karne ka junoon hi meri zindgi ki kahani hai,
har khwaab sach ho jaaye, ye mumkin toh nahin hai doston,
haan, koshishyen karna kaamyaabi talak, meri ek aadat purani hai,
log band aankhon mein sapne sambhaalte hein aksar,
khuli aankhon mein sapne sanjona, sachmuch ek ajab diwani hai,
ab ise meri be-shaouri samajhiye ya ke hamaaqat samajh lijiye,
mehfil mei baithe ahbaab khate hein tu waakai laa-saani hai..
faqat - only
shouk - hobby
ravaani - flow
be-shauri - stupidity
hamaaqat - foolishness
ahbaab - friends
waakai - actually
laa-saani - matchless