khuda ki soch
tere baad khuda ne mera naam likha hoga
teri saans ke baad mujhe saansen di hogi
tere wajood ke baad mera wajood sujhaya hoga
tere saath meri taqdeer ko tabhi basaya hoga
koi toh mere jeene ki wajah rahi hogi
koi toh meri moujudgi ka sabab paya hoga
is zameen par koi yun hi nahi aata
koi toh bahaana kismat ne banaya hoga
kabhi toh haathon mein lakeeren khinchi hongi
kabhi toh mera bhi muqqaddar sajaya hoga
tu hi haasil bane meri zindgi ka
kabhi toh khuda ki soch mein ye aayaa hoga