Posts

Showing posts from September, 2011
hai re mere sabr ka sabr bhi be-sabr hua jaata hai, koi kambakht toh hai jo dil se nikalta hi nahin ab naam le uska to bewajah ungliyan uthengi aur chup rahen toh dil saala sambhalta hi nahin
Hasraton ke karwaan kabhi mukkammal nahi hote, ek na ek kashish rah jaati hai khalish ban kar.. ----------------------------------- sab kuch mil jaata agar toh kaun usko poochta, badaa hi shaatir hai woh oopar waala bhi...
koshishen tab bhi ki thin, koshishen ab bhi karte hein, wo shaks magar ab bhi bhoolta bhi nahi aur meri zindgi se guzarta bhi nahin
waqt ke saath chale to waqt aage nikal jaata hai waqt se aage chale to waqt phir haath nahin aata hai waqt ko peeche chhoda to waqt bhulaata jaata hai sirf waqt hai jo insaan ko uski aukaat dikhaata hai
jo din ke ujaale mein na mila us chaand ne raat ki baahon mein chupkar usko thagaa tha kaise bitaayen un kaale dino ke andheron ko jab aaftaab hi ne din ki roshini ko dhakaa tha
har shaks safedposh hai, harek ki bagal mein magar ek khanjar tyaar hai jo shaatir hai wo ghaat lagaata hai, jo maasoom hai usi pe hota waar hai wo paak saaf daaman dikhata hai zamaane ko jiske haath lahoo se range hein wo mazloom kya apna seena dikhayega jiska jism zakhmon se taar taar hai
bus aur ab uska intezaar nahin, bus aur ab usse pyaar nahin, bhalaa ye bhi kya mohabbat hui, ke tu ab bhi bechain hai magar wo bekraar nahin
ab tak kyun seene se lagaa rakha hai us sitamgar ko jo tera bhi nahin hota aur paraaya bhi nahin hota
zamaana beet chuka jab aashiq banaaye jaate the mohabbat ke afsaane sunaaye aur gaaye jaate the wo log bhi beet gaye wo waqt bhi beet gaya jab zindadili se yahan rishte nibhaaye jaate the
kaun kahta hai ke rishte ta umr chalte hein is jahaan mein log mausam ki tarah badalte hein na do kisi ko itna haq ke koi dard tumhen de sake ke dard dekar azeez hi nazar bachaa ke nikalte hein
ek dard sa seene mein uthta hai jab bhi ek lamha bhi tab bitaana mushkil ho jata hai jiske naam se kaat li zindgi saari aksar usko bhulana mushkil ho jata hai koi poochta hai ke chehra udaas kyun hai to udaasi ka sabab bataana mushkil ho jata hai yun to hans kar baat taal dete hein kai baar lekin ashq chupana mushkil ho jata hai jab tab ek na-umeedi maayus karti hai is kadar ke umeedon ko phir jagaana mushkil ho jata hai toot jaate hein yun armaan aksar ke dil ko samjhana mushkil ho jata hai sabr kiya jis had-e-sabr talak kai baar us had ke paar jaana mushkil ho jata hai mat pooch wo kaun hai ke ab uska naam zubaan pe laana mushkil ho jata hai
jab dard ki intehaa hoti hai, dil ka kona kona rota hai rooh tadapti hai besaakhta aur jism taaboot hota hai
sabr karna meri aadat hai, zulm karna uski fitrat na hum bezaar hote hein na wo shramsaar hote hein
chal ab firaaq chhod de, har kaul ki miyaad poori nahin hoti kahin talaash mukkammal nahin hoti, kahin muraad poori nahin hoti