ek dard sa seene mein uthta hai jab bhi
ek lamha bhi tab bitaana mushkil ho jata hai
jiske naam se kaat li zindgi saari
aksar usko bhulana mushkil ho jata hai

koi poochta hai ke chehra udaas kyun hai
to udaasi ka sabab bataana mushkil ho jata hai
yun to hans kar baat taal dete hein
kai baar lekin ashq chupana mushkil ho jata hai

jab tab ek na-umeedi maayus karti hai is kadar
ke umeedon ko phir jagaana mushkil ho jata hai
toot jaate hein yun armaan aksar
ke dil ko samjhana mushkil ho jata hai

sabr kiya jis had-e-sabr talak
kai baar us had ke paar jaana mushkil ho jata hai
mat pooch wo kaun hai ke ab uska naam
zubaan pe laana mushkil ho jata hai

Popular posts from this blog