doston se dosti kar ke bhi dekh li dost aksar mujhe bhool jaate hein unse achche to mere dushman hein jo mujhe kosne meri dahleez tak aate hein farq karna doston aur dushmano mein bahut aasaan lagta hai mujhko aajkal ke dost rishta jod kar dagaa dete hein dushman badi shiddat se dushmani nibhate hein parde mein doston ko rakhna ek fitrat ban gayi hai baat baat par log doston se nazar bachaate hein wo to dushman hi hote hein azeez aapke jo seena thok kar har raaz bataate hein bahut faqr hai mujhe mere dushmano par kam se kam wo mere seene par waar karte hein un doston se bhi magar koi gila nahi hai mujhe jo chehre pe hansi aur aasteen mein khanjar chupaate hein
Posts
Showing posts from December, 2012
- Get link
- X
- Other Apps
shaayad tum nahi jaante magar shama ka shor bhi hota hai jab wo jalti hai, pighalti hai mehfil mei to dil uska bhi rota hai.... humne tab tab uske aansuon ki jalan ko mehsoos kiya hai jab jab koi parwaana uska daaman apne lahu se bhigota hai.... bazm mein kisi baashinde ko uski roshni se parhez kyunkar ho jab raat bhar jalne ki sazaa dene wala khud chain se sota hai....