doston se dosti kar ke bhi  dekh li
dost aksar mujhe bhool jaate hein
unse achche to mere dushman hein
jo mujhe kosne meri dahleez tak aate hein

farq karna doston aur dushmano mein
bahut aasaan lagta hai mujhko aajkal
ke dost rishta jod kar dagaa dete hein
dushman badi shiddat se dushmani nibhate hein

parde mein doston ko rakhna ek fitrat ban gayi hai
baat  baat par log doston se nazar bachaate hein
wo to dushman hi hote hein azeez aapke
jo seena thok kar har raaz bataate hein

bahut faqr hai mujhe mere dushmano par
kam se kam wo mere seene par waar karte hein
un doston se bhi magar koi gila nahi hai mujhe
jo chehre pe hansi aur aasteen mein khanjar chupaate hein

Popular posts from this blog