kabhi paththar dekha hai?
kabhi paththar se chot khaai hai
gar nahin dekha to dekh lo aaina
tumne paththar si seerat paayi hai.
Q
itne bigde mijaaz hein tumhare
itna tum kyun itraate ho
kis khataa ka sila de rahe ho hume
kya ab dil ki har dharkan bhi pathraai hai?

bahut koshishen kar li jeene ki tum bin
bahut baar saans magar aati nahin
bus marna hi rah gaya hai tera naam lekar
kyun maine ek paththar se preet lagaai hai?

gar shikaayat hai tumhen mere rahbar se
mujhe bhi tumse kai shikwe hein raah badalne ke
ye maana humaare raaste kabhi ek na the
par socho to ek manzil kahin apni bhi aayi hai.

chalo fir se koshish karen tumse anjaan ban jaane ki
yaari to nibh na saki, ab ajnabeeyat nibhaane ki
dastoor-e- khaak daalne ki rasam to poori kar do
jab dosti aur dushmani dono ki riwaayat nibhaayi hai

baar baar daaman failaate hein tere muqabil
baar baar tum daamn chitak kar chale jaate ho
bus ek baar apne pyaar se bhar do mujhe
badi mushkil se tumne ye kahne ki himmat aayi hai

ek baar phir laut aao meri zindgi mein
ek baar mujhe phir jeene ki ijaazat de do
warna zamaana kahega wo jo ab rahi nahin
usne kis jurm ki sazaa tumse paayi hai

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार