Bus ek aur hasrat rah gayi jo usse mukhaatib thi wasl-e-yaar ki khwaaish ye dil bayaan kar na saka yun to tammanna poori ho gayi us tak aane ki beech ka faasla, garche, wo asaan kar na saka.... mukhaatib - related garche - magar
Posts
Showing posts from February, 2013
- Get link
- X
- Other Apps
humne sataana chhod diya haal-e-dil batana chhod diya khud chup ke ro lete the lekin, unko rulana chhod diya jab se thaama hai haath tera lakeeron ko mitana chhod diya bus teri aankhon me dekha aur khwaab sajana chhod diya aaj din bhar intezaar kiya phir waqt bitana chhod diya khud hi bulaa liya usko aur zid pe aana chhod diya...
- Get link
- X
- Other Apps
kabhi kabhi zahan mein yun hi ek sawaal aata hai hum waqt bitaate hein ya waqt hume bitata hai koshish karte hein ke rok le guzarte lamhon ko sirf yaadon ka ek guchcha haathon mein aata hai... sochte hein jab chand beete palon ke baare mei yeh dil kabhi ro deta hai, kabhi muskurata hai kis kis ko quid karen kis ko nikaal de zahan se har achche bure shaks se koi na koi naata hai... har roz umr ki ek seedi aur chad jaate hein har roz ek naya padaav zindgi mein aata hai mujhe marne ka shouk nahin hai agarche ab yun hi jeene se bhi dil aksar ghabraata hai... ab toh sab bhool jaye to shaayad theek ho waise bhi kaun kisko aajkal yaad rakh paata hai chalo ek baar fir koshish karen unhen sametne ki wo har rateela lamha haath se fisalta jaata hai....
- Get link
- X
- Other Apps
jab mile hi nahin to bichadne ka gum kaisa do lafz bhi nahin bole to ilzaam-e-sitam kaisa... karte hein wo dua to din bhar jataate rahte hein humne sajda kiya unhen, to hua unko bharam kaisa... likh ke haal-e-dil sunana hume khoob aata hai haan, sayahi me lahu na mile to wo kalam kaisa.... umr beet gayi magar fir bhi umr dhalti hi nahin jo bhool gaya waqt dhale bhalaa wo sanam kaisa... apno ko to koi apna thaam hi leta hai gum mein jo haath na thaame gairo ka to wo karam kaisa... sirf ilzaam lagaane se kuch bhi haasil nahi hota jo dil se maaf na kar sake to wo raham kaisa... koi khuda nahi basta mandir o masjid mein jahan insaan nahi rahta wo dair-o-haram kaisa... dair-o-haram - places of worship, mandir aur masjid
- Get link
- X
- Other Apps
for facebook yeh kaisi ajeeb si deewaar hai har shaks ki jispe har chehre ki kahani sunaai jaati hai apna haal-e-dil khol kar rakh diya jaata hai lafz likhe jaate hein tasveeren sajai jati hein jo pasand hai uski bayaani hoti hai sareaam aur na-pasandi bhi khul ke bataai jaati hai anjaanon ko yun hi dost banaaya jaata hai aur doston se hi dushmani nibhai jaati hai....