jab mile hi nahin to bichadne ka gum kaisa
do lafz bhi nahin bole to ilzaam-e-sitam kaisa...

karte hein wo dua to din bhar jataate rahte hein
humne sajda kiya unhen, to hua unko bharam kaisa...

likh ke haal-e-dil sunana hume khoob aata hai
haan, sayahi me lahu na mile to wo kalam kaisa....

umr beet gayi magar fir bhi umr dhalti hi nahin
jo bhool gaya waqt dhale bhalaa wo sanam kaisa...

apno ko to koi apna thaam hi leta hai gum mein
jo haath na thaame gairo ka to wo karam kaisa...

sirf ilzaam lagaane se kuch bhi haasil nahi hota
jo dil se maaf na kar sake to wo raham kaisa...

koi khuda nahi basta mandir o masjid mein
jahan insaan nahi rahta wo dair-o-haram kaisa...

dair-o-haram - places of worship, mandir aur masjid

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार