Posts

Showing posts from March, 2012
nazdeek hi hai bus kuch kadam ki doori par aa jao, ke dil udaas hai aaj bin tumhare...
mere suron mein ab wo jazbaat nahi, badi hi veeraan meri sadaa ho gayi shikst mere housle nahi hue hein lekin, na dam baaki hai, na zor bacha hai...
do hi haalaaton mein soorat-e-yaar yaad aati hai jab chaahat ya nafrat had se bad jaati hai
khuda deta hai to jhel lete hein uska naam lekar dard ka saaman bhi aur dard ka aaraam bhi
एक दी और सैकड़ों मिली वल्लाह ये मुस्कराहट भी अजीब चीज़ है सौ बहाए, पोंछने को किसी ने हाथ न बढाये, क्यूंकि आंसू बहाना बे-तमीज़ है
एक चेहरा दिखता है मेरे आईने में अक्सर रूबरू नहीं होता लेकिन मुलाक़ात रोज़ होती है
chalo ek baar fir wahan ghoom aayen jahan khwaab jalaaye the, suna hai abhi bhi us jagah se dhuan nikalta hai kabhi kabhi
किस्मत ने कितनी बार तोडा मुझे एक खिलौना बना कर छोड़ा मुझे जिंदगी के दर पर जिंदगी मांगने गए थे उसने भी खाली हाथ मोड़ा मुझे कुछ तो रंजिश थी जो खिलाफत करने लगी जिंदगी मेरी मुझसे ही बगावत करने लगी मेरी जिद थी जो मुस्कुराते रहे फिर भी चाहे सिर्फ मायूसी ने अक्सर ओडा मुझे सब्र किया है हमेशा, सब्र करते रहेंगे' वक़्त के साथ यूँ ही हिम्मत से लड़ते रहेंगे जब भी थक कर बिखरने को मन किया एक एक पल ने खुद आकर जोड़ा मुझे ...
mera aaj mere kal se khafaa kyun hai dono ke darmyaan ye faasla kyun hai pal wo bhi azeez the, pal ye bhi apne hein magar waqt se waqt itna juda kyun hai?
ab to lafz bhi aakar thak gaye zubaan par guftgoo ke waade kya aur guftgoo kya... humne dil khol kar rakh diya uske jaanib ab aur aarzoo kya aur justjoo kya..
कई बार आसमान से लड़े, कई बार ज़मीन पर बिखरे वजूद जैसा कल था , वजूद वैसा ही आज भी है समय चलता रहा कभी धीरे, कभी भागता रहा वक़्त मौजूद जैसा कल था, वैसा आज भी है
yaad to roz aati hai dabe paavn mere zehan mein magar kadamon ki aawaaz sirf dil ko sunaai deti hai.. jagaane ko khyaal hi kaafi hein tere phir kyun bhala bechainiyon ko ye banjaaran yaad hawaa deti hai...
wo ghaalib bhi badaa hi shaatir insaan tha yaaron, us zamaane mein saare zamaanon ki baat kah gaya...
मेरी फुगाँ की तरज पर उसने ग़ज़ल कह डाली बज़्म में अब किस किस का हिसाब रखें, यहाँ जो मिला दर्द दे गया कोई ...
gham hai magar gham se rihaai ki tarqeeb nahin waqt ke saath beet ta bhi nahin, guzarta bhi nahin
chal bhool ja mujhe, koi shikwa nahi magar pahle ek kaam to kar.. mera naam apne naam se jod kar, thoda aur badnaam to kar... tune mohabbat to ki mujhse, magar khud se bhi aksar chupaai ek baar bataa zamaae ko, ek baar apne pyaar ko sare aam to kar..