zaraa saanse bhi dheeme dheeme se hi lo, k dil me basaa shaks muztarib na ho jaaye muztarib : disturb, restless
Posts
Showing posts from March, 2013
- Get link
- X
- Other Apps
tere haath mein mera haath hai, mujhe zamaane se ab kya gharaz baaki kyu karoon logon ki nigaahon se parda tere aasre se ab hai hamara faraz baaki... bahot bebaak bahot waasiq hai sach mein ab bachi nahi is rishte mein koi laraz baaki kiske nishaane par hamari mohabbat hai lekin dooriyon mein bhi na koi daraz baki... gharaz - matlab aasre - dependence faraz - elevation waasiq - secure laraz - waver daraz - opening
- Get link
- X
- Other Apps
us andhere se kya darna, jise ek diya daraa deta hai nafrat faasla badati hai to pyaar faasla mita deta hai tum jeeyo ke jeena bahut aasaan hai is jahaan mein aur marne ki aarzu mein insaan jeena bhula deta hai hazaaron log milte hein, hazaaron bichad bhi jaate hein us daaman ko tham lo, jo tumhara gum chupa leta hai dard mein hans lo to shiddat kuch kam ho jaati hai warna aajkal dard insaan ko ta-umr rula deta hai...
- Get link
- X
- Other Apps
उनको आदत है अपने ख़त का मज़मून यूँही बदलने की और हम उनके हर लफ्ज़ को एक पैगाम समझ लेते हैं वोह आदतन ही दरवाज़े बदल देते हैं अपनी दीवारों के और हम उन पत्थरों को चिलमन-ओ-शाम समझ लेते हैं वोह हर हसीन चेहरे पर ग़ज़ल सुना कर चले जाते हैं और हम उनकी हर नज़्म को अपने नाम समझ लेते हैं वोह अक्सर हमारी गली से गुज़र रकीबों के शहर जाते हैं हम उन कदमों को हमारी जानिब उठा गाम समझ लेते हैं