ab tak ye na jaan sake se zakhm usne diye ya humne ghaav uske seene pe bhi hein ghaav mere jism par bhi
Posts
Showing posts from January, 2012
- Get link
- X
- Other Apps
aitbaar kar sako to karo lo....yehi meri zindgi hai dar pe baithen hein, magar darwaaza nahin khulta.... --------------------------------- jab armaan dil ke kho jaate hein to lafz zubaan par so jaate hein... ----------------------------------- bus unke ek sawaal se hum ghabraaten hein ke tumne yun kiya toh kyun kiya...? aur hamaare ek jawaab se wo ukhad jaate hein ke hum wo na karte, toh kya karte??? --------------------------------- us saade se pairhan mein badaa hi saada jo shaks tha hum use bashar samajhte rahe, wo sirf insaan ka aks tha nooraani rukh zaroor tha, aankhen magar kaisi bejaan thi sookhe labon per beetin muskaano ka ek ajeeb sa raks tha -------------------------- aaina hamesha tasveer ulti dikhaata hai, dekho kuch magar nazar kuch aata hai daag dhoondhne se bhi khud ko nahi milte apna chehre ka aks hamesha khoobsoorat hi lautata hai -------------------------------- haathon ki lakeeren dekh kar hum bhi socha karten hein itni choti lakeeron mein kismat ne zindgi kaise bas
- Get link
- X
- Other Apps
koi maraasim nahin tha, koi kaul o qaraar bhi nahin dil ko phir bhi ek tavaqqo rah gayi thi us aashanaa se guzarti gayi relgaadi ki tarah maqaam dar maqaam zindgi mahroom rah gayi hai ab bhi apne makaan se ... maraasim - agreement kaul o qaraar - promise and resolution tavaqqo - hope aashanaa - friend, known maqaam - station mahroom - deprived
- Get link
- X
- Other Apps
बहुत देता है, दामन भरता नहीं फिर भी, न भूख मिटती है, न प्यास जाती है, तेरे दर पर रहमतों की बारिश ऐसी है के हर टूटे दिल को इस दर उसकी आस लाती है... जिसने कभी सर झुकाया नहीं, उसको भी यकीं है के माथे की लकीरें तेरी कलम से लिखीं हैं जिसका सर कभी उठा नहीं तेरी चौखट से, सुना है तेरी खुदाई खुद उसके पास जाती है ... मेरा क्या, मेरी ज़बीं किसी के दर पर नवीं नहीं मेरी जुबां ने तेरा नाम शायद कभी लिया नहीं आज जब हाथ उठे दुआ को बेकसी में, तेरी नूर-ए-नज़र की कशिश मुझे तेरे पास लाती है... वो आँख का चुल्लू भर पानी यूँ दरिया नजीब बन गया तेरी नज़र-ए-इनायत पड़ी और मेरा नसीब बन गया नाकाफी थी मेरी झोली मौला, ऐसी बख्शीश दराज़ की वल्लाह हम काफिरों पर भी तेरी नज़र ख़ास जाती है ...
- Get link
- X
- Other Apps
har zindgi mein ek kahani chupi hoti hai harek kahani mein koi zindgi bitaata hai jo beej aaj banaa hai wo kal ped banega jo aaj ped ban gaya kal beej banaata hai rawaani thi, rawaani hai, rawaani rahegi isme ek lamha aata hai aur ek jaata hai n isko kisi ne paar kiya na paar hai koi iska ajab paheli hai zindgi ajab hi gaatha hai
- Get link
- X
- Other Apps
bachpan mein sikhaya gaya tha, god mein bitha kar batlaya gaya tha, zyaada oonche khwaab mat sajana, apne maasoom dil ko mat bahalana chaahe dil ke armaan kabhi nahi sote magar kuch khwaab kabhi poore nahi hote... har lafz suna magar dil apna toda nahi koshish ki magar khwaab chun na chhoda nahi kabhi khud se lade, kabhi haalaat se lekin maayusi ko apne wajood par odha nahi ye maana ke dil ke armaan kabhi nahi sote magar ye galat tha ke khwaab poore nahi hote... kyunki kisi ne tumhare sapne thukra diye to kya, qaaynaat ab bhi barkaraar hai dekh phir ek baar koshish kar ek baar phir mauka tyaar hai ye maana ke dil ke armaan kabhi nahi sote magar ye galat tha ke khwaab poore nahi hote jab dekh taara toot te hue to naamuraad na ho zameen par girne se pahle usko lapak le, daboch kar apni hatheliyon ki ot mein chupa kar usko apne khazaane mein rakh le sach maana ke dil ke armaan kabhi nahi sote magar ye galat tha ke khwaab poore nahi hote
- Get link
- X
- Other Apps
kaun kahaan se aaya hai, kaun kahaan jaa raha hai kisi ko ilm nahin, kisi ko aabhaas nahin safar mein kaun saath raha, safar se kaun bichad gaya kisi ko parwaah nahi kisi ko ahsaas nahi haath thaam kar chhod gaya, haath chuda kar thaam liya kisi ko bitaaye gaye waqt ka andaaz nahi koi subah tha shaam tak guzar gaya, koi shaam ko mila subah nahin raha is zindgi ka kahin ant nahi kahin agahaaz nahi
- Get link
- X
- Other Apps
anjaane raaston par kisi ko manzil milti hai, kisi to manzar, hum un sirfiron mein se hein jo raahe khud banaate hein, agarcheh akele chale the, magar ab akele nahin hein, goya toofaan khud aakar meri muththi mein samaate hein, kyun haathon ki lakeeron mein dhoondhe kismeten apni, jab peshaani par mehnat ke gauhar jagmagaate hein, na saaya na chaaya na thandi hawaaon ka waasta mila, hum barq se uski milkiyat lekar apni tiiragii mitaate hein... agarcheh -although, goya - as if, peshaani - forehead, gauhar - pearl, barq - lightening, milkiyat - property, tiiragii - darkness