aitbaar kar sako to karo lo....yehi meri zindgi hai
dar pe baithen hein, magar darwaaza nahin khulta....


---------------------------------

jab armaan dil ke kho jaate hein
to lafz zubaan par so jaate hein...

-----------------------------------

bus unke ek sawaal se hum ghabraaten hein
ke tumne yun kiya toh kyun kiya...?
aur hamaare ek jawaab se wo ukhad jaate hein
ke hum wo na karte, toh kya karte???
---------------------------------

us saade se pairhan mein badaa hi saada jo shaks tha
hum use bashar samajhte rahe, wo sirf insaan ka aks tha
nooraani rukh zaroor tha, aankhen magar kaisi bejaan thi
sookhe labon per beetin muskaano ka ek ajeeb sa raks tha

--------------------------

aaina hamesha tasveer ulti dikhaata hai,
dekho kuch magar nazar kuch aata hai
daag dhoondhne se bhi khud ko nahi milte
apna chehre ka aks hamesha khoobsoorat hi lautata hai

--------------------------------

haathon ki lakeeren dekh kar hum bhi socha karten hein
itni choti lakeeron mein kismat ne zindgi kaise basai hogi
kab tak aur intezaar karna hoga waqt ke badalne ka
jaane kab jaakar meharbaan apne pe khudaai hogi???
----------------------------

koi maraasim nahin tha, koi kaul o qaraar bhi nahin
dil ko phir bhi ek tavaqqo rah gayi thi us aashanaa se
guzarti gayi relgaadi ki tarah maqaam dar maqaam
zindgi mahroom rah gayi hai ab bhi apne makaan se ...

maraasim - agreement
kaul o qaraar - promise and resolution
tavaqqo - hope
aashanaa - friend, known
maqaam - station
mahroom - deprived
--------------------------------

jhuka kar nazar dekh lete hein khud ka geela girebaan bhi
ke daag ashqon ke sirf teri aasteen par achche nahni lagte

----------------------------------

hijr se koi shikwa mat kar e yaarab,
k hijr mein wasal ki umeed chupi baithi hai....



Popular posts from this blog