anjaane raaston par kisi ko manzil milti hai, kisi to manzar,
hum un sirfiron mein se hein jo raahe khud banaate hein,
agarcheh akele chale the, magar ab akele nahin hein,
goya toofaan khud aakar meri muththi mein samaate hein,
kyun haathon ki lakeeron mein dhoondhe kismeten apni,
jab peshaani par mehnat ke gauhar jagmagaate hein,
na saaya na chaaya na thandi hawaaon ka waasta mila,
hum barq se uski milkiyat lekar apni tiiragii mitaate hein...

agarcheh -although, goya - as if, peshaani - forehead, gauhar - pearl, barq - lightening, milkiyat - property, tiiragii - darkness

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार