tum kahte ho so jao kyunki khwaab mein wasl hoga
lekin khwaab dekhne ke liye neend aana zaroori hai
bistar par lete lete sochte hein hum aksar raat ko ke
jab tak neend nahi aati hijr ka aalam ek majboori hai
ginte hein baar baar unhi taaron ko aasma dekhkar
jo taare jataate hein ke humare beech kitni doori hai
chand tumhen bhi dikhta hoga ghat ta badta raat ko
magar bin tumhari nazdeeki ke chaandni adhoori hai...

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार