uske jaanib mera har jazba ab mar gaya
wo shaks jo aaj meri nazar se utar gaya

girebaan jiska mere haathon k paas tha aur
mera haath hi usko choone se mukar gaya

har baat par ek naya falsafaa aur hidayat
apni baat hui toh kaise woh bigad gaya

shauk hai ghar todne ka to paththar maar
ke lafzon ka tera har waar yun beasar gaya

bahut himmat chahiye sach sun ne k liye
sach ke saamne aakhir kyu woh yu dar gaya...

Popular posts from this blog