Posts

Showing posts from July, 2013
Zindgi ka pyala tu ek musht hi satak jaana Jo aadha peeya to aadha khaali rah jaayega Khushi utni hi hogi jitna tere jism me gaya Khaali hissa tere gum ki taraf bah jaayega Saans bhi mat rokna, ek saans mein pee lena k Kai martbaa saans atak jaati hai peete hue Jo atke saans to koi fiqr nahin karna, kyuki Ye jism pathhar hai, pathhar sab sah jayega… Yahan wahan har jagah sirf khushi bikhri hai Chun chun ke har lamha sajaa le dil me kahin

hamaare paigaam ka jawaab nahi aata

Bahut bezaar ho jaate hein jab hamaare paigaam ka jawaab nahi aata Peshe se muhaasibi karne waale ko meri besabri ka hisaab nahi aata Khat milne ke baad bhi aadat-e- qataa-e-nazar se pareshaan hein Kya us be-khabar ko mere dard ka ahsaas-e-azaab nahi aata Khamkhah hi intezaar karne ka marz mol le liye hai humne Ek woh hai jise meri naadaaniyon pe kabhi etaab nahi aata muddat se band rakhen hein saare darwaaze aur khidkiyan phir bhi bigde hue ahsaason ko chain-e- Iztir aab nahi aata din raat behad uksaate hein hum uske sabr aur qaraar ko jane kis mitti ka hai k uske jazbaaton pe inqlaab nahi aata Muhaasibi- accountancy aadat-e- qataa-e-nazar– habit of ignoring ahsaas-e-azaab – understanding agony etaab – gussa, anger chain-e- Iztir aab – relief from anxiety

tera daaman dhoodhta rahta hai

Raat gaye aksar mera pahlu tera daaman dhoodhta rahta hai Ke tu is karwat bhi jagaata hai, aur us karwat bhi jagaata hai Aankhen band karke bhi kuch pareshaan se rahte hein aajkal Ke Tera ek khwaab meri uneendii aankhon mein samaata hai Dil ki dhadkane tez hoti hein bewajah jaane kyun sote sote, Mere zahan mein tera khayaal askar apna ghar banaata hai Aksar machal jaati hein baahen meri tere aagosh me aane ko Ke teri un baazuon se mera kai janamon purana ik naata hai Tum aksar mujhe bewajaah hi nikaal dete ho apni yaadon se Tum hi kaho bhala koi apne aap se khud ko yun chuaraata hai …

razdaar

wo apne dil se bhi apna haal-e-dil bayaan nahi karta aur Hum khamkhah khud ko razdaar samajhte rahe jis aas pe jeete the kabhi, wo aas dil me hi mar gayi jis pyaas se marte the, us pyaas se khud hi ladte rahe bahut lamba faasla aa gaya  darmayaan hum dono ke kaun uthayega pahla kadam, is baat pe hi jagadte rahe daayra humne bana dala tha, daayaron ke beech rah ke un daayaron ko todne ka jhootha ek  dum bharte rahe na fursaten wahan thin, na faraagaten humare paas fir bhi dono khud ki masrufiyaton se mukarte rahe....

khudaai kis pe raham khaati hai???

Jab bhi bedakhal karta hai wo apni ibaadat se Meri junnon-e-parastish aur bhi bad jaati hai Hum zabeen jhukate hein thokar khate hein Jane uski khudaai kis par rahmat farmaati hai Bada hi la-garz hai uski munsifi meri jaanib          Har baat par sirf mujhe mujrim banaati hai Haan Uspar meharbaan hoti hai uski nazar jo nazar har nazar se nazar apni milaati hai is kadar uski tangdili mujhe hairaan karti hai ke mujhe meri haisiyat par sharm si aati hai socha tha khuda kabhi kisi me farq nahi karta magar yahan ibaadat bhi sikkon me toli jati hai..

tum kareeb ho

Gumaan hota hai tere kareeb hone ka Jab bhi tere chehre ki sirf deed hoti hai Nahi milta to, nigaahon ka roza hota hai Milta hai to, be-mausam ki eid hoti hai

mehandi ka rang

Itna zulm hum pe kyun farmaaya jataa hai Tum kya samajhte ho ke hum toot jaayenge Arre hum to mehendi ke patto ki tarah hein Tum jitna peesoge, utna hi rang dikhayenge