hamaare paigaam ka jawaab nahi aata

Bahut bezaar ho jaate hein jab hamaare paigaam ka jawaab nahi aata
Peshe se muhaasibi karne waale ko meri besabri ka hisaab nahi aata

Khat milne ke baad bhi aadat-e-qataa-e-nazar se pareshaan hein
Kya us be-khabar ko mere dard ka ahsaas-e-azaab nahi aata

Khamkhah hi intezaar karne ka marz mol le liye hai humne
Ek woh hai jise meri naadaaniyon pe kabhi etaab nahi aata

muddat se band rakhen hein saare darwaaze aur khidkiyan
phir bhi bigde hue ahsaason ko chain-e- Iztiraab nahi aata

din raat behad uksaate hein hum uske sabr aur qaraar ko
jane kis mitti ka hai k uske jazbaaton pe inqlaab nahi aata


Muhaasibi- accountancy
aadat-e-qataa-e-nazar– habit of ignoring
ahsaas-e-azaab – understanding agony
etaab – gussa, anger
chain-e- Iztiraab – relief from anxiety

Popular posts from this blog