khudaai kis pe raham khaati hai???

Jab bhi bedakhal karta hai wo apni ibaadat se
Meri junnon-e-parastish aur bhi bad jaati hai
Hum zabeen jhukate hein thokar khate hein
Jane uski khudaai kis par rahmat farmaati hai

Bada hi la-garz hai uski munsifi meri jaanib        
Har baat par sirf mujhe mujrim banaati hai
Haan Uspar meharbaan hoti hai uski nazar
jo nazar har nazar se nazar apni milaati hai

is kadar uski tangdili mujhe hairaan karti hai
ke mujhe meri haisiyat par sharm si aati hai
socha tha khuda kabhi kisi me farq nahi karta
magar yahan ibaadat bhi sikkon me toli jati hai..

Popular posts from this blog