Zindgi ka pyala tu ek musht hi satak jaana
Jo aadha peeya to aadha khaali rah jaayega
Khushi utni hi hogi jitna tere jism me gaya
Khaali hissa tere gum ki taraf bah jaayega
Saans bhi mat rokna, ek saans mein pee lena
k Kai martbaa saans atak jaati hai peete hue
Jo atke saans to koi fiqr nahin karna, kyuki
Ye jism pathhar hai, pathhar sab sah jayega…
Yahan wahan har jagah sirf khushi bikhri hai
Chun chun ke har lamha sajaa le dil me kahin

Popular posts from this blog