razdaar

wo apne dil se bhi apna haal-e-dil bayaan nahi karta
aur Hum khamkhah khud ko razdaar samajhte rahe

jis aas pe jeete the kabhi, wo aas dil me hi mar gayi
jis pyaas se marte the, us pyaas se khud hi ladte rahe

bahut lamba faasla aa gaya  darmayaan hum dono ke
kaun uthayega pahla kadam, is baat pe hi jagadte rahe

daayra humne bana dala tha, daayaron ke beech rah ke
un daayaron ko todne ka jhootha ek  dum bharte rahe

na fursaten wahan thin, na faraagaten humare paas
fir bhi dono khud ki masrufiyaton se mukarte rahe....

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार