tera daaman dhoodhta rahta hai

Raat gaye aksar mera pahlu tera daaman dhoodhta rahta hai
Ke tu is karwat bhi jagaata hai, aur us karwat bhi jagaata hai

Aankhen band karke bhi kuch pareshaan se rahte hein aajkal
Ke Tera ek khwaab meri uneendii aankhon mein samaata hai

Dil ki dhadkane tez hoti hein bewajah jaane kyun sote sote,
Mere zahan mein tera khayaal askar apna ghar banaata hai

Aksar machal jaati hein baahen meri tere aagosh me aane ko
Ke teri un baazuon se mera kai janamon purana ik naata hai

Tum aksar mujhe bewajaah hi nikaal dete ho apni yaadon se
Tum hi kaho bhala koi apne aap se khud ko yun chuaraata hai …

Popular posts from this blog