pahla kadam koi toh uthaaye,
koi to thokar maare, koi toh jhunjhalaye,
mulk ke baashinde sabhi chillate hein,
humukraano ko magar koi to jagaaye,
sab ki kaat hai zamaane mein lekin,
koi to haathon mein shamsheer uthaaye,
raasten veeran nahin, haan, siiyahiyon se bhare hein
koi to mashaal jalaakar inki taariiki mitaaye,
aawaam chup baithi hai, magar goongi nahi,
bolegi, magar koi to pahli aawaaz uthaye
hum tyaar hein, use rah-numa banaane ko,
koi to is desh mein inqlaab laaye..

Popular posts from this blog