Posts

Showing posts from February, 2012
एक चेहरा दिखता है मेरे आईने में अक्सर रूबरू नहीं होता लेकिन मुलाक़ात रोज़ होती है लबों को ख़ामोशी पहना दी है उसने बरसों से सन्नाटों में सन्नाटो से लेकिन बात रोज़ होती
happiness is like spring...always blooming always colourful and the epitome of optimism lies in ppl who can write and express...because only writers can think of summers in snowfall and of blooming of flowers in autumn...
bahaaron mein dhoondhte hein sardiyon ki khushkiyan, ye kaatib bhi balaa ka tassavvur rakhten hein... khushkiyan - dryness kaatib - writer tassavvur - imagination
शायर का कलाम और कातिब की कलम बाखुदा सियासत तक को हिला देती है कौन कमबख्त है जो रोक सकता है तूफ़ान को के स्याही भी कई बार शमशीर का सिला देती है
जी तो रहे थे मगर बेजान थे उसके आने से पहले अब ये आलम है के जान न जाती है न रूकती है कहीं पर हर तम्मना वहीँ से शुरू होती है जहाँ उसका दयार है और हर आरजू ख़तम होती है जाकर वहीँ पर ....
ye aawaaz mere dil ki gaharaaiyon se aayi hai ke dil-e-maasoom ne yaaron se hi chot khaai hai jo aas paas ghoomti hai, wo soorat apno ki hai aur apno ne hi aksar gairon zimmedari nibhai hai..
tamaasha hi ban jata hai mohabbat mein, aur tamaashai saara jahaan hota hai jab bhi aashiq sar jhukata hai sajde mei, zuban pe rab ki jagah yaarab ka naam hota hai...
khuda deta hai to jhel lete hein uska naam lekar dard ka saaman bhi aur dard ka aaraam bhi
tamaasha hi ban jata hai mohabbat mein, aur tamaashai saara jahaan hota hai jab bhi aashiq sar jhukata hai sajde mei, zuban pe rab ki jagah yaarab ka naam hota hai...
सफ़र सख्त है, तनहा है मगर बे-मज़ा और बे-मंज़र नहीं कुछ कट गया, कुछ कट रहा है, कुछ कट ही जाएगा साथी सबको मिल जाता है अपने नसीब से इस जहां में ख़ुशी हो या गम, गर बांटने वाला हो सब बँट ही जाएगा
mere maajhi ne meri kashti ko wahin jaakar duboya jahan mera maazi mera naakhuda bankar bichda tha... my boat was drowned by my boatman at the same spot where my past deserted me ...
intezaar ki intehaa bus ab hone ko thi meri raaten bhi taras kar ab sone ko thi aur wo chaand aa gaya aasmaa par jab chaandi andhere mein khone ko thi...
nazdeek hi hai bus kuch kadam ki doori par aa jao, ke dil udaas hai aaj bin tumhare...
mere suron mein ab wo jazbaat nahi, badi hi veeraan meri sadaa ho gayi shikst mere housle nahi hue hein lekin, na dam baaki hai, na zor bacha hai...
koi shikaayat nahi khuda se, bus ek sawaal hai, gar tu dayaa ka maseeha hai, to mere liye dard ki kyu misaal hai...
haathon ki lakeeren dekh kar hum bhi socha karten hein itni choti lakeeron mein kismat ne zindgi kaise basai hogi kab tak aur intezaar karna hoga waqt ke badalne ka jaane kab jaakar meharbaan apne pe khudaai hogi
do hi haalaaton mein soorat-e-yaar yaad aati hai jab chaahat ya nafrat had se bad jaati hai
ye aawaaz mere dil ki gaharaaiyon se aayi hai ke dil-e-maasoom ne yaaron se hi chot khaai hai jo aas paas ghoomti hai, wo soorat apno ki hai aur apno ne hi aksar gairon zimmedari nibhai hai
lafzon mein gar bayaan ho jaati, kaun ahmak bhalaa kaseede likhta, mohabbat wo shaatir balaa hai jo dawaa ban kar dard de jaati hai
mila tha jo khwaab mein shaks kya usne tumhen sambhaal liya jab bhi kisi ne ye sawaal kiya, humne yun hi hans ke taal diya
आंसुओं से भी अब क्या शिकवा करे कोई ये मासूम सिर्फ दिल का दर्द बयान करते हैं रोता दिल है मगर दिल के पास कोई जरिया नहीं इसलिए बेचारे आँखों के रास्ते निकलते हैं
raat ko bahut raat ko koi guzra tha yahan se maaloom nahi wo chaand tha, ya koi rahjan... rahjan - robber
याद बे पैर हर उस जगह आती है जहाँ उसका ख्याल आता है महफ़िल हो या तन्हाई, याद का एक लम्हा सौ दर्द जगाता है
सफ़र सख्त है, तनहा है मगर बे-मज़ा और बे-मंज़र नहीं कुछ कट गया, कुछ कट रहा है, कुछ कट ही जाएगा साथी सबको मिल जाता है अपने नसीब से इस जहां में ख़ुशी हो या गम, गर बांटने वाला हो सब बँट ही जाएगा
e dost mahfil mein doston se shaan hoti hai, bhalaa shamaa bin parwaano ke kahan jawaan hoti hai, jaam to har haath uthaata hai shauk se lekin bewajah sharaab har jagah badnaam hoti hai
बदरंग तस्वीरें दीवारों से उतार ही दी आखरीन न आब रह गया था बाकी, न हिद्दत ही बची थी बदरंग - faded आखरीन - after all आब - brightness हिद्दत - sharpness, warmth
Bahot maze se kat rahi hai, koi kami nahin hai baaki aisa koi nahin jisko gami nahin hai...
jo chalak gayi katra katra wo may thi ya ghataa jo jam gayi palak pe wo soorat-e-yaar ban gayi
jack and jill went up the hill... aur pahaar khod kar nadi nikaal di so that no one has to go up ever again... u need a will to fulfil ur wish...
har lakeer mein ek tajurba chupa hota hai ke umr nahi gini jaati chehre ki daraaron se ....
din mein kai baar uski galiyon se guzarte hein garaj ye ke wo waakif hai magar mushtaaq nahi mile barson ke baad aur phir bichad gaye yun hi ye kismat ke khel hein yaaron , koi ittefaaq nahin waakif - knows mushtaaq - interested
abhi umeeden baaki hein ke abhi toh haath khola bhi nahin aur muththiyon mein se hi mere sapne jhalak rahe hein....
abhi umeeden baaki hein, abhi toh haath khola bhi nahin muththiyon mein se hi mere sapne jhalak rahe hein....
kya shikwa karen kisi kya shikaayat karen ke jise rahanumma maana wo rahzan nikla
chand aarzuon ka khel hai yeh zindgi bhi kabhi kismet nahi deti, kabhi haasil nahi hoti....
chand aarzuon ka khel hai yeh zindgi bhi kabhi kismet nahi deti, kabhi haasil nahi hoti....
kuch toh kashish zaroor hai uski aankhon mein lillah jo meri aankhen mujhe baar baar wahan le jaati hein...
mujhe apne chehre ki lakeeron se pyaar hai kyunki in par mere tajurbon ka ikhtiyaar hai...
un parindon ki parwaaz kya rokega koi shikaari jinke hauslon mein hawaaon ka thikaana hai...
हम सदा मस्त रहतें हैं और बिंदास रहते हैं जब हम सिर्फ अपनों के ही पास रहते हैं दूसरों के मोहताज नहीं खुशियों के लिए मेरे पास मेरी खुशियों के अहसास रहते हैं
आवारगी खुशबुओं की कशिश बहुत सताती है बेवजह कोई निखत एक ख्याल जगाती है गुमी हुई थी अचानक यूँ मिल गयी जिंदगी किस्मत ऐसे किस्मत पर यकीं दिलाती है