meri hasti par yeh chaya hai kaun saugaat-e-mohabbat laya hai kaun band kamron mein bahta paseena, ye khushboo-e-jannat laya hai kaun
Posts
Showing posts from May, 2013
- Get link
- X
- Other Apps
Yun lagaa mere dard ki muddat khatam ho gayi Magar khuda ki nazar mein abhi itnehaa nahi hui Humne toh odh liya tha khushi ko apne ird-gird Bola woh abhi tujhe tere kufr ki sazaa nahi hui Humne hans kar kaha abhi aur kitnna sahna hai Usne kaha jab tak tere gumon ki atathaa nahi hui Humne chupchaap sir ko jhukaya aur kah diya ‘Badhaali mein rah lenge jab tak teri razaa nahi hui’ Daleel dete bhi to haasil kya ho jaata yaaron Sab Manzur-e-khuda hai jab qazaa nahi hui
- Get link
- X
- Other Apps
Wo meharbaan aisi meharbaani karta raha Apne pyaar ka chupchaap dum bharta raha Hum jise uska ek mazaak samajhte rahe Din raat us aag mein sulagta aur jalta raha Aankhon se shikaayat aankhon se mohabaat Aankhon se hi pyaar uska pighalta raha Labon par feeki si muskuraahat odh kar Raah-e-ulfat par wo akela hi chalta raha Na samajh sake uski udaas khaamoshi ko Bezubaani mein uska haal-e-dil dhalta raha Chupata raha zamaane ki nigaahon se magar Dil uska meri jaanib ta-umr machalta raha
- Get link
- X
- Other Apps
Tu agar haath thaam le mera to Har toofaan se takra sakta hoon Teri zindgi roshan karne ki liye Zamaane ko aag lagaa sakta hoon Gar tera Sahara mil jaaye to kisi aur ke sahare ki justjoo hi nahi Tujhe paane ke liye main yeh saari duniya thukra sakta hoon Teri aankhon se chalakte aansu mujhe manzoor nahi zaraa bhi In aankhon ki khaatir main saraa aasmaan sukha sakta hoon Mujhe teri hansi ki chaahat hai, aur meri chaahat mera gurur hai Aur teri hansi ke liye mein har honth ki hansi chura sakta hoon
- Get link
- X
- Other Apps
Meri galtiyan bhi meri zindgi ka apna tajurba hai Mere jeene ke saleeke ke liye koi zimmedaar nahi Aur waise bhi kaun sa shaks hai is duniya mein Jisne koi khataa nahi ki jo bilkul khataawaar nahi Haan mujhme wo sab khaamiyan hein jo jatati hein ke main bhi insaan hoon koi parwar digaar nahi khud ko jhuka kar khuda ke dar par maanti hu ke mere aibon ka kisi se bhi koi sarokaar nahi mere karam gar zamaane ko kufr lagte hein sach mujhe meri sazaaon se koi darkaar nahi par ek sawaal zaroor hai har dost se dushman se ke uska naam bataao jo yahan gunaahgaar nahi..
- Get link
- X
- Other Apps
uski bhi ek duniya hai, mera bhi ek jahaan hai, bus milta hai kahin kahin hamara aasmaan hai, zameen choti pad gayi bhaagte hue uske saaye se fir bhi uski parchaai mein jeene ka armaan hai... deewaar ko bhi dard hota hoga keel gaadne pe mitti jo bhikharti hai wo aansu samaan hai haal hamara kya hota hai nashtar chubhone se dil lahu bahata hai ke aakhir hum insaan hein bewafaa i ki tohmat lagaane waalon ka girbaan kya sach mein apni bewafaai se is kadar anjaan hai kya haq hai use yun ilzaam lagaane ka kyun samajhta wo khud ko bhagwaan hai
- Get link
- X
- Other Apps
badi ajeeb duniya hai bada ajeeb dastoor hai dekhte dekhte hi yahan rishte badal jaate hein kahin toh heeron ka bhi kharidaar nahin milta kisi bazaar mein khote sikke bhi chal jaate hein kabhi to aansuon ki garmi se bhi dil nahi pighalte aur kabhi paani se bhi paththar pighal jaate hein kabhi ek lamhe ki khatir zindgi khatam ho jaati hai kabhi ek zindgi mein hi kai janam nikal jaate hein kahin sooraj ki roshni kam padti hai andheron ko kahin chiraagon se andheron ke dil jal jaate hein unse shikwa karte hein unse sharminda hote hein kya karen ke kuch armaan bewajah pal jaate hein ...
- Get link
- X
- Other Apps
ek uljhan si ban gayi hai yeh mohabaat bhi yaaron haal-e-dil na chupaya jata hai na bataya jata hai.. waqt ka har lamha ik bojh sa lagne lagaa hai jo ke ab na guzara jata hai na uthaya jata hai... mera zahan ek saaye se pareshaan hai in dino wo saaya na nikala jata hai na basaya jata hai... koi baat ab lab tak aakar khamosh ho jaati hai un lafzon ko na bola jata hai na bhulaya jata hai.. kuch khwaab tairte hein adhkhuli palakon pe aajkal ke ab nazar ko na milaya jata hai na jhukaya jata hai... humne kaul liya tha unko sataane ka kabhi, lekin ab humse unko na sataya jata hai na rulaya jata hai
- Get link
- X
- Other Apps
toot kar chaahne waale hume tumse se kuch itteffaq bhi hai kuch majaaz bhi hai ke is dil ko teri be-baak mohabbat ka kuch to ilm bhi hai kuch to ahsaas bhi hai kaafir ban gaye magar parasti n chhodi ke tum hi mera roza aur tu namaaz bhi hai labon pe khaamoshi od lene se bhi sun liya tere chup me aawaaz bhi hai aur raaz bhi hai
- Get link
- X
- Other Apps
jab se us shaks ka saath maine paaya hai mujhe khuda ke hone par yakeen aaya hai jise apni hi nazar se gira diya zamaane ne meri aankhon ne use khwaabon me sajaya hai mujhe faqr hai us par aur uski dosti par jisne mujhe mere hone ka ahsaas dilaya hai jahaan bhar mein bus woh hi mera apna hai jise maine apne jism ka saaya banaaya hai