Wo meharbaan aisi meharbaani karta raha
Apne pyaar ka chupchaap dum bharta raha
Hum jise uska ek mazaak samajhte rahe
Din raat us aag mein sulagta aur jalta raha
Aankhon se shikaayat aankhon se mohabaat
Aankhon se hi pyaar uska pighalta raha
Labon par feeki si muskuraahat odh kar
Raah-e-ulfat par wo akela hi chalta raha
Na samajh sake uski udaas khaamoshi ko
Bezubaani mein uska haal-e-dil dhalta raha
Chupata raha zamaane ki nigaahon se magar
Dil uska meri jaanib ta-umr machalta raha