ek uljhan si ban gayi hai yeh mohabaat bhi yaaron
haal-e-dil na chupaya jata hai na bataya jata hai..
waqt ka har lamha ik bojh sa lagne lagaa hai
jo ke ab na guzara jata hai na uthaya jata hai...
mera zahan ek saaye se pareshaan hai in dino
wo saaya na nikala jata hai na basaya jata hai...
koi baat ab lab tak aakar khamosh ho jaati hai
un lafzon ko na bola jata hai na bhulaya jata hai..
kuch khwaab tairte hein adhkhuli palakon pe aajkal
ke ab nazar ko na milaya jata hai na jhukaya jata hai...
humne kaul liya tha unko sataane ka kabhi, lekin
ab humse unko na sataya jata hai na rulaya jata hai

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार