Tu agar haath thaam le mera to Har toofaan se takra sakta hoon
Teri zindgi roshan karne ki liye Zamaane ko aag lagaa sakta hoon
Gar tera Sahara mil jaaye to kisi aur ke sahare ki justjoo hi nahi
Tujhe paane ke liye main yeh saari duniya thukra sakta hoon
Teri aankhon se chalakte aansu mujhe manzoor nahi zaraa bhi
In aankhon ki khaatir main saraa aasmaan sukha sakta hoon
Mujhe teri hansi ki chaahat hai, aur meri chaahat mera gurur hai
Aur teri hansi ke liye mein har honth ki hansi chura sakta hoon

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार