uski bhi ek duniya hai, mera bhi ek jahaan hai,
bus milta hai kahin kahin hamara aasmaan hai,
zameen choti pad gayi bhaagte hue uske saaye se
fir bhi uski parchaai mein jeene ka armaan hai...
deewaar ko bhi dard hota hoga keel gaadne pe
mitti jo bhikharti hai wo aansu samaan hai 
haal hamara kya hota hai nashtar chubhone se
dil lahu bahata hai ke aakhir hum insaan hein
bewafaa i ki tohmat lagaane waalon ka girbaan
kya sach mein apni bewafaai se is kadar anjaan hai
kya haq hai use yun ilzaam lagaane ka
kyun samajhta wo khud ko bhagwaan hai

Popular posts from this blog