badi ajeeb duniya hai bada ajeeb dastoor hai
dekhte dekhte hi yahan rishte badal jaate hein
kahin toh heeron ka bhi kharidaar nahin milta
kisi bazaar mein khote sikke bhi chal jaate hein
kabhi to aansuon ki garmi se bhi dil nahi pighalte
aur kabhi paani se bhi paththar pighal jaate hein
kabhi ek lamhe ki khatir zindgi khatam ho jaati hai
kabhi ek zindgi mein hi kai janam nikal jaate hein
kahin sooraj ki roshni kam padti hai andheron ko
kahin chiraagon se andheron ke dil jal jaate hein
unse shikwa karte hein unse sharminda hote hein
kya karen ke kuch armaan bewajah pal jaate hein ...