Teer-e-nazar se jo zakhm hume diye jaate hein unpe apne aansuon ki malham hum lagaate hein Us par maasoomiyat se yeh poocha jaata hai… Kyu rote ho, kya hum tumhe itna yaad aate hein
Posts
Showing posts from June, 2013
- Get link
- X
- Other Apps
Dastak koi deta hai raat raat bhar khayaal mein Ulajh ulajh jaate hein uske khamosh sawaalon mein Raasta takta tha wo mera kabhi modon pe khada hua aaj khada hai wh maasoom barbaadi ke kagaaron mein Kuch samajh ka fer tha, kuch waqt ka dhokha, warna Kaun todta hai rishte yun bewajah ke bawaalon mein Muddat baad Harsun aaj bhi ek hi soorat dikhti hai Basaa hai jo kisi aur kee goshon aur dayaaron mein Aasmaan par baadlon ki tarah guzarta hai bin barse Aur baarish ka mausam bhi sookh gaya intezaaron mein Humne wo dard mol le liye hai bin daam ke bin baat ke Milti nahin jiski dawaa duniya ke kisi bhi bazaaron mein Meri gustakhiyon ki sazaa aakhir maut kyun nahi Ke hum to yun bhi quaid hein apni hi mazaaron mein Hum nijaat paate nahin, woh paas aate nahin Bechaini magar dikhti hai unke bhi hawaalon mein Hasraten ginte the jin ungliyon par gin gin kar Toote hein armaan uske saikdon hazaaron mein Uske bina andhera hi milta hai door tak faila
- Get link
- X
- Other Apps
Maine kab tumse tumhara waqt sara maanga tha Bus sabhalne ko tumse thoda sahara maanga tha Tum saahil pe khade the aur hum bhanwar mein Tumse tumhari zameen ka ik kinaara maanga tha Tere pyaar mein teri parasti ko is qadar bebas hue Ke tere kadamo mein ek kona dobara maanga tha Apne raqeeb se guzaarish karen bhi toh kaise kare Usse uska nahin, haq humne hamaara maanga tha Hasraten dil ki kya thi kya rah gayi e mere khuda Khudai nahi Teri rahmaton ka ishaara maanga tha
- Get link
- X
- Other Apps
Tumhara woh mere ghar tak aana kaise bhoolen Tumhara wo darwaaza khatkhatana kaise bhoolen Tumhari woh aawaaz aaj bhi bhulaayi nahin jaati Tumhara bechainiyon ko chupana kaise bhoolen Tum yaad karte the ye bhoolna mumkin hi nahin Tumhara who meri yaadon me aana kaise bhoolen Tumhari baaten aur shikaayaten ab bhi yaad hein Tumhara wo baat baat par rooth jaana kaise bhoolen Tumhara raahon mein palken bichana to yaad nahin Tumhari raahon me aankhen bichana kaise bhoolen Tum nahin ho mere naseeb mein, iska ilm hai hume Tumhara phir bhi mere nazdeek aana kaise bhoolen
- Get link
- X
- Other Apps
kinaare par rahkar saagar ki gahraai naapte ho, utro to pani mein dekhen tum me dum kitna hai, kishtiyan kya chalengi, laharen kya duboyengi, aao ke yahan paani sirf tumhare ghutne jitna hai... bekaar hi darte ho tum zindgi ke thapedon se jee lo jee bhar ke, aakhir zindgi ka sirf itna hai? jo isko tair jaata hai, bus wo hi paar paata hai sab khel hai zindgi ka aur zindgi khud fitnaa hai jeet lo gar jeet sakte ho waqt ke har lamhe ko anjaam e zeest toh aakhirish isko mitna hai...
- Get link
- X
- Other Apps
Sab kuch hai lekin phir bhi ek kami si lagti hai Saans hai magar zindgi kuch thami si lagti hai Kaun rah gaya akela bichad ke mere saaye se Meri parchaai mein ik tasveer jami si lagti hai Baadlon se nikal k ek chota tukda aasmaa ka Gira jahaan wo ek anjaan zameen si lagti hai Honth beshaq zaahir kar bhi den hansi teri Aankhon mein magar ek ghami si lagti hai Muddat hui abr aabshaar n hue ghar pe mere Aaj uske aane pe hawaa me ek nami si lagti hai
- Get link
- X
- Other Apps
Meri Choti si gudia ab badi ho chali hai Aage ki duniya bus tere piya ki gali hai Tu dil ka tukda tu mere ghar ki bahaar Mahkta mera aagna tu wo mithi kali hai Wo chote chote se paanvon se matak matak ke chalna Wo thirakna har geet pe aur baat baat pe machalna Wo gusse mein muh fulaana aur woh aankhen dikhana Har baat se teri yaaden judi hein Meri choti si gudia ab badi ho chai hai Wo padna, padaana aur bahaane banaana Wo doston ke saath ghanton tak batiyaana Wo khat wo letter sabse chupaana Har baat se sach teri yaaden judi hein Meri choti si gudia ab badi ho chali hai Kuch baaten ab meri bhi tu sunti jaa bitiya….Ye yaad rakhna ke yeh ghar ab tera to hai magar tujhse paraya hai tu Jahaan jaa rahi hai wo tere sapno ka saya hai Wahin maa milegi tujhe wahin pita bhi honge Wahi humne tere aane waale kal ka sansaar banaya hai Wahan kaante bhi honge aur phool bhi khilenge Wahin sukh bhi hoga aur dukh bhi milenge Wahin tere daaman mein chaa
- Get link
- X
- Other Apps
for my brother-in-law who passed away on 25.5.2013 Nazar dhoodhti rah jaati hai us shaks ko Jo door bahot door jab chalaa jaata hai us jahaan mein jaane koi kaise rahta hoga jidhar jaane se jeete ji har koi ghabraata hai kya wahan bhi aasmaan neela hota hoga kya wahan bhi mausam badalte honge kya wahan bhi sukh dukh ka kaarvaan yu hi zindgi ko bitaane ka zariya banaya jaata hai? Kya sachmuch mein koi khuda hota hoga Kya farishte zahad ka taqaaza karte honge Yan dozakh aur jannat ke darwaazon par Insaan khud Karamon ka taala lagaata hai? Kya hooren wahan insaani dil bahalaati hongi Kya pariyan apne seene se lagaati hongi Kya sar-e-arsh ki hasrat rakhne waalon ko Bin sharton ke wahaan Qaboola jaata hai? Jo hasraten rah gayin thi jahaan mein baaki Kya us jahaan mein mukkammil hoti hongi Kya insaan ki taqdeer aur tadbeer ka hisaab Agle janam ki shakl mein likhaa jaata hai??? Farishte: angels, Zahad: good deed, taqazaa: settlement, doz
- Get link
- X
- Other Apps
mujhe har baat par wo ek chawanni deta raha....... Pyaar ke izhaar karne par Uska intezaar karne par Haq na maangne par aur Haq-e-ikhtyaar karne par Magar Bazaar mein jo chalti nahi Keemat jiski chadti nahi Muththi bhar gayi meri Kismet lekin badalti nahi J Aur Itni chawanniyan ikathi ho gayi Ke ab lautane ka waqt hai Un khote sikkon ko aaj Uspar hi chalaane ka waqt hai J Isliye Ab har baat par hum use uski ek chawanni lautenge jitna usne hume sataya utna use hum sataayenge J Lekin na uska sikka chalaa bazaar me na mera sikka hi chal paayega magar ek sukun milega dil ko saara gum durust ho jaayega J
- Get link
- X
- Other Apps
wo jo kuch khwaab chote chote se Tumhari aankhon mein basaaye the Kal raat wo tumhari shikaayat lekar Dabe paanv khwaabon me aaye the.. Unhone mujhe bataya ke tum aajkal raaton ko kuch Theek se sote nahin garam garam ashqon ko pee lete ho par bojhil aankhon ko bhigote nahin aksar raat ko mere khayaal tumhen raat raat bhar khoob sataate hein karwat karwat der tak tumhara dil woh apni baaton se bhalaate hein kai baar tum bewajah akele mein apne aap me yun hi muskurate ho apne zahan me mere tassavvur ko apne haatho se baar baar sajaate ho meri khushboo tumhari saans ko meri saanson se mahkaati hai tumhare dil ki dhadkan rah rah ke mere dil ko aawaaz dekar bulati hai sach kaho ye sab kya tumhare saath hua hai kya maine tumhari zindgi ko is kadar chua hai????
- Get link
- X
- Other Apps
Mujhe mujhse mile hue ek zamaana beet gaya Mera aaina bhi mujhe ab teri hi soorat dikhata hai Kaisi ajeeb si kahaani ban gayi hai teri badakashi k Jaam koi peeta hai, kadam mera dagmagaata hai Dur rahne ka iraada karte hein har shaam lekin Subah uska ek paigaam phir us tak le aata hai Hausla nahin hai magar dil jhooth mooth mein Usko tang karta hai aur khud ko bhi satata hai Khat likhne ki ek aadat si pad gayi hai is umr me Majmoon har harf ka bus haal-e-dil batata hai Aji kuch to hoga ilaaj is la-ilaaj marz ka miyan, Ke dekho bin ilaaj ke dil beemaar hua jaata hai
- Get link
- X
- Other Apps
Meri kalam bhi ab mujhe naraaz rahti hai Meri nazm bhi ab mujhse naraaz rahti hai Jab se maine likhna chhod diya hai yaaron Saari bazm bhi mujhse naraaz rahti hai... Mere ahsaas hi mere ashraar bante hein Wo khayaal hi mere panne pe utarte hein Jab se mere jazbaat guzar gaye nazaron se Meri chashm bhi mujhse naraaz rahti hai Riwaazon se hat kar ek rishta banaaya tha Toofaanon tak ne mera saath nibhaya tha Jab se toot gaye mera bharam sach maano Riti aur rasam bhi mujhse naraaz rahti hai Ummeedon se pare waadon se bahut pare Har nayi puraani yaadon se bhi bahut pare Jis shaks ke naam se har saughandh uthaai Tab se kasam bhi mujhse naraaz rahti hai...