mujhe har baat par wo
ek chawanni deta raha.......

Pyaar ke izhaar karne par
Uska intezaar karne par
Haq na maangne par aur
Haq-e-ikhtyaar karne par

Magar

Bazaar mein jo chalti nahi
Keemat jiski chadti nahi
Muththi bhar gayi meri 
Kismet lekin badalti nahi J         

Aur

Itni chawanniyan ikathi ho gayi
Ke ab lautane ka waqt hai
Un khote sikkon ko aaj
Uspar hi chalaane ka waqt hai J

Isliye

Ab har baat par hum use
uski ek chawanni lautenge
jitna usne hume sataya
utna use hum sataayenge J

Lekin

na uska sikka chalaa bazaar me
na mera sikka hi chal paayega
magar ek sukun milega dil ko
saara gum durust ho jaayega J

Popular posts from this blog

अहसास-ए-गम

तमन्ना-ऐ-वस्ल-ऐ-यार