Meri kalam bhi ab mujhe naraaz rahti hai
Meri nazm bhi ab mujhse naraaz rahti hai
Jab se maine likhna chhod diya hai yaaron
Saari bazm bhi mujhse naraaz rahti hai...
Mere ahsaas hi mere ashraar bante hein
Wo khayaal hi mere panne pe utarte hein
Jab se mere jazbaat guzar gaye nazaron se
Meri chashm bhi mujhse naraaz rahti hai
Riwaazon se hat kar ek rishta banaaya tha
Toofaanon tak ne mera saath nibhaya tha
Jab se toot gaye mera bharam sach maano
Riti aur rasam bhi mujhse naraaz rahti hai
Ummeedon se pare waadon se bahut pare
Har nayi puraani yaadon se bhi bahut pare
Jis shaks ke naam se har saughandh uthaai
Tab se kasam bhi mujhse naraaz rahti hai...